दिल शायरी

Dil Ka Mareez Hoon

उन्हें मालूम है, मैं दिल का मरीज़ हूँ, फिर भी
वो मुझसे पूछते हैं, आशिक़ मिजाज़ कैसा है।

Unhein Maaloom Hai,
Main Dil Ka Mareez Hoon,
Phir Bhi Wo Mujhse Poochhte Hain,
Aashiq Mijaaz Kaisa Hai.

-Advertisement-

Ai Dil Mat Kar Mohabbat

Ai Dil Mat Kar Mohabbat Shayari

Ai Dil, Mat Kar Itni Mohabbat Tu Kisi Se,
Ishq Mein Mila Dard Tu Seh Nahi Payega,
Toot Kar Bikhar Jayega Apno Ke Haathon,
Kisne Toda Ye Kisi Se Keh Bhi Na Payega.

ऐ दिल! मत कर इतनी मोहब्बत तू किसी से,
इश्क़ में मिला दर्द तू सह नहीं पायेगा,
टूट कर बिखर जायेगा एक दिन अपनों के हाथों,
किसने तोड़ा ये भी किसी से कह नहीं पायेगा।

-Advertisement-

Yoon Dil Lagaane Se

इश्क़ अगर किया है तो वफ़ा करना भी सीखो,
फक़त यूँ दिल लगाने से दिलों में घर नहीं बनते।

Ishq Agar Kiya Hai To Wafa Karna Bhi Seekho,
Faqat Yoon Dil Lagaane Se Dilon Mein Ghar Nahin Bante.

Aaine Aur Dil

Aaine Aur Dil Shayari

आइने और दिल का बस एक ही फसाना है,
टूट कर एक दिन दोनों को बिखर जाना है।

Aaine Aur Dil Ka Bas Ek Hi Fasaana Hai,
Toot Kar Ek Din Donon Ko Bikhar Jaana Hai.

-Advertisement-

Badi Aasani Se Dil

Badi Aasani Se Dil Lagaye Jaate Hain,
Par Badi Mushkil Se Vaade Nibhaye Jate Hain,
Lekar Jati Hai Mohabbat Unn Raahon Par,
Jahan Par Diye Nahi Dil Jalaye Jate Hain.

बड़ी आसानी से दिल लगाए जाते हैं,
पर बड़ी मुश्किल से वादे निभाए जाते हैं,
लेकर जाती है मोहब्बत उन राहों पर,
जहां पर दिये नहीं दिल जलाए जाते हैं।

-Advertisement-

Dil-e-Naadaan Tujhe

दिल-ए-नादान तुझे हुआ क्या है,
आखिर इस दर्द की दवा क्या है,
हमको उनसे है उम्मीद वफ़ा की,
जो जानते ही नहीं वफ़ा क्या है।

Dil-e-Naadaan Tujhe Hua Kya Hai,
Aakhir Iss Dard Ki Dawaa Kya Hai,
Humko Unse Hai Ummeed Wafa Ki,
Jo Jaante Hi Nahin Wafa Kya Hai.

Ye Dil Bura Sahi

Ye Dil Bura Sahi Shayari

ये दिल बुरा सही मगर सर-ए-बाजार तो न कह,
आखिर तू इस मकान में कुछ दिन रहा तो है।

Ye Dil Bura Sahi Magar Sar-e-Baajaar To Na Keh,
Aakhir Tu Iss Makaan Mein Kuchh Din Raha To Hai.

-Advertisement-

Ye Hairat-e-Dil Roj Hi

आँखों से लड़े गेसु-ए-खमदार से उलझे,
ये हैरत-ए-दिल रोज ही दो-चार से उलझे।

Aankhon Se Lade Gesu-e-Khamadaar Se Uljhe,
Ye Hairat-e-Dil Roj Hi Do-Chaar Se Uljhe.