- Home
- Gham Shayari
- Page-7
ग़म शायरी
Tere Ishq Ka Gham
तुझको पा कर भी न कम हो सकी मेरी बेताबी,
इतना आसान तेरे इश्क़ का ग़म था ही नहीं।
Tujhko Pa Kar Bhi Na Kam Ho Saki Meri Betaabi,
Itna Aasaan Tere Ishq Ka Gham Tha Hi Nahin.
Unhein Koi Gham Nahi
Aansuon Se Jin Ki Aankhein Nam Nahi,
Kya Samjhte Ho Ke Unhein Koi Gham Nahi,
Tadap Kar Ro Diye Gar Tum To Kya Hua,
Gham Chhupa Kar Hansne Wale Bhi Kam Nahi.
आँसुओं से जिनकी आँखें नम नहीं,
क्या समझते हो कि उन्हें कोई गम नहीं?
तड़प कर रो दिए गर तुम तो क्या हुआ,
गम छुपा कर हँसने वाले भी कम नहीं।
Dikhaaya Duniya Ne Rang
Kya Khoob Dikhaaya Duniya Ne Apna Rang,
Hum Rang Bharte Bharte Khud Be-Rang Ho Gaye.
क्या खूब दिखाया दुनिया ने अपना रंग,
हम रंग भरते भरते खुद बे-रंग हो गए।
-सुनीता
Unki Ek Nazar Ko Hum
उनकी एक नज़र को हम तरसते रहेंगे,
ग़म के आँसू हर पल यूँ ही बरसते रहेंगे,
कभी बीते थे कुछ पल उनके साथ,
बस यही सोच कर हम हँसते रहेंगे।
Unki Ek Nazar Ko Hum Taraste Rahenge,
Gham Ke Aansoo Har Pal Yoon Hi Baraste Rahenge,
Kabhi Beete The Kuchh Pal Unke Saath,
Bas Yehi Soch Kar Hum Hanste Rahenge.
Tere Chale Jaane Ke Baad
एक तेरे चले जाने के बाद से हमें,
किसी का भी यहाँ ऐतबार न रहा,
और किसी से तो क्या करेंगे मोहब्बत,
जब अपनी ही जिंदगी से प्यार न रहा।
Ek Tere Chale Jaane Ke Baad Se Humein,
Kisi Ka Bhi Yahaan Aitbaar Na Raha,
Aur Kisi Se To Kya Karenge Mohabbat,
Jab Apni Hi Zindagi Se Pyaar Na Raha.
Gham Jo Dil Mein Hai
क्या जाने किसको किससे है
अब दाद की तलब,
वह ग़म जो मेरे दिल में है
तेरी नज़र में है।
Kya Jaane Kisko Kis Se Hai
Ab Daad Ki Talab,
Woh Gham Jo Mere Dil Mein Hai
Teri Nazar Mein Hai.
Gham Ki Aatishbaaji Kam Huyi
फिर तेरा चर्चा हुआ, आँखें हमारी नम हुई,
धड़कनें फिर बढ़ गई, साँस फिर बेदम हुई,
चाँदनी की रात थी, तारों का पहरा भी था,
इसीलिये शायद गम की आतिशबाजी कम हुई।
Phir Tera Charcha Hua, Aankh Humaari Nam Huyi,
Dhadkane Phir Badh Gayin, Saans Phir Bedam Huyi,
Chaandni Ki Raat Thi, Taaron Ka Pehra Bhi Tha,
Iseeliye Shayad Gham Ki Aatishbaaji Kam Huyi.
Tere Gham Ko Chhupaaun Kaise
खुश्क आँखों से भी अश्कों की महक आती है,
तेरे ग़म को ज़माने से मैं छुपाऊं कैसे।
Khushq Aankhon Se Bhi Ashqon Ki Mahek Aati Hai,
Tere Gham Ko Zamane Se Main Chhupaaun Kaise.