इंतज़ार शायरी

Read Intezaar Shayari (Shayari on Waiting Someone) in Hindi with beautiful images

Raat Kaise Gujarti Hai

Ai Hum-Nafas Na Poochh Raat Kaise Gujarti Hai,
Yaad-e-Ulfat Mein Chaandni Khursheed Lagti Hai.

ऐ हम-नफस न पूछ रात कैसे गुजरती है,
याद-ए-उल्फत में चाँदनी खुर्शीद लगती है।
~बरखा गुप्ता

-Advertisement-

Aapke Intezaar Mein

हम इस कदर जाग रहे हैं आपके प्यार में,
लम्हा-लम्हा कट रहा है आपके इंतज़ार में।

Hum Iss Kadar Jaag Rahe Hain Aapke Pyar Mein,
Lamha-Lamha Kat Raha Hai Aapke Intezaar Mein.

-Advertisement-

Intazaar Ke Lamhe Bhi

Intazaar Ke Lamhe Bhi Kitne Ajeeb Hote Hain,
Seene Ki Jagah Aankhon Mein Dil Dhadakta Hai.

इंतज़ार के लम्हे भी कितने अजीब होते हैं
सीने की जगह आँखों में दिल धड़कता है।

Wo Na Aaye

वो न आये उनकी याद आकर वफा कर गयी,
उनसे मिलने की आस सुकून तबाह कर गयी,
आहट हुयी तो सोचा असर दुआ कर गयी,
दरवाजा खोलकर देखा तो मालूम हुआ कि,
मजाक हमसे हवा कर गयी।

Wo Na Aaye Unki Yaad Aakar Wafa Kar Gayi,
Unse Milne Ki Aas Sukoon Tabaah Kar Gayi,
Aahat Huyi To Socha Asar Dua Kar Gayi,
Darawaza Kholkar Dekha To Maaloom Hua Ki,
Majaak Humse Hawa Kar Gayi.

-Advertisement-

Tere Intejaar Mein

अगर हो मेरी ज़िन्दगी मेरे इख्तियार में,
तो मैं सदियाँ गुज़ार दूँ तेरे इंतजार में।

Agar Ho Meri Zindagi Mere Ikhtiyaar Mein,
To Main Sadiyaan Gujaar Doon Tere Intejaar Mein.

-Advertisement-

Dehleez Par Aankhein

Dehleez Par Aankhein Shayari

Raat Der Tak Teri Dehleez Par
Baithi Rahin Aakhein,
Khud Na Aana Tha Toh Koi
Khwaab Hi Bhej Diya Hota.

रात देर तक तेरी दहलीज़ पर
बैठी रहीं आँखें,
खुद न आना था तो कोई
ख्वाब ही भेज दिया होता।

Tarasti Hain Aankhein

उनसे मिलने को तरसती हैं आँखें,
तरस तरस कर बरसती हैं आँखें,
बरस बरस कर जब थक जाती हैं आँखें,
तो फिर से मिलने को तरसती हैं आँखें।

Unse Milne Ko Tarasti Hain Aankhein,
Taras Taras Kar Barasti Hain Aankhein,
Baras Baras Kar Jab Thak Jaati Hain Aankhein,
To Phir Se Milne Ko Tarasti Hain Aankhein.

-Advertisement-

Shaam Hai Bujhi-Bujhi

Shaam Hai Bujhi-Bujhi Shayari

Shaam Hai Bujhi-Bujhi Waqt Hai Khafa-Khafa,
Kuchh Hasin Yaadein Hain Kuchh Bhari Si Aankhein Hain,
Kah Rahi Hai Meri Ye Tarasti Najar,
Ab Toh Aa Jayiye Ab Na Tadapaiye.
Hum Thhahar Bhi Jayenge Raah-e-Zindagi Mein,
Tum Jo Paas Aane Ka Ishaara Karo,
Munh Ko Fere Huye Meri Takdeer Si,
Yoon Na Chale Jayiye Ab Toh Aa Jaaiye.

शाम है बुझी बुझी वक्त है खफा खफा,
कुछ हंसीं यादें हैं कुछ भरी सी आँखें हैं,
कह रही है मेरी ये तरसती नजर,
अब तो आ जाइये अब न तड़पाइये।
हम ठहर भी जायेंगे राह-ए-जिंदगी में
तुम जो पास आने का इशारा करो,
मुँह को फेरे हुए मेरे तकदीर सी,
यूँ न चले जाइये अब तो आ जाइये।