- Home
- Intezaar Shayari
- Page-5
इंतज़ार शायरी
HumSafar Saath Nahi
Dil Ki Dhadkan Ko Ek Lamha Sabr Nahi,
Shayad Usko Ab Meri Jara Bhi Kadr Nahi,
Har Safar Mein Mera Kabhi HumSafar Tha Woh,
Ab Safar To Hai Magar Woh HumSafar Nahi.
दिल की धड़कन को, एक लम्हा सब्र नहीं,
शायद उसको अब मेरी ज़रा भी कद्र नहीं,
हर सफर में मेरा कभी हमसफ़र था वो,
अब सफर तो है मगर वो हमसफ़र नहीं।
उसके इंतजार में हूँ
मुद्दतों से उसके इंतजार में हूँ यारों,
कहीं पढ़ लिया था कि
सच्ची मोहब्बत लौटकर आती है।
Muddaton Se Uske Intezaar Mein Hoon Yaaron,
Kahin Parh Liya Tha Ki
Sachchi Mohabbat Lautkar Aati Hai.
Har Waqt Aapka Intezar
Aankhein Bhi Palkon Se Sawal Karti Hain,
Har Waqt Aapko Hi Bas Yaad Karti Hain,
Jab Tak Na Kar Lein Deedar Aapka,
Tak Tak Woh Aapka Intezar Karti Hain.
आँखें भी मेरी पलकों से सवाल करती हैं,
हर वक़्त आपको ही बस याद करती हैं,
जब तक ना कर लें दीदार आपका,
तब तक वो आपका इंतज़ार करती हैं।
Intezaar Ka Lutf
Kahin Wo Aa Ke Mita De Na
Intezaar Ka Lutf,
Kahin Qabool Na Ho Jaye Iltiza Meri !
कहीं वो आ के मिटा दें न
इंतज़ार का लुत्फ़,
कहीं क़ुबूल न हो जाए इल्तिजा मेरी ।
Tera Intezar Lazim Hai
Kabhi Khushi Se Khushi Ki Taraf Nahi Dekha,
Tumhare Baad Kisi Ki Taraf Nahi Dekha,
Ye Soch Kar Ke Tera Intezar Lazim Hai,
Tamaam Umr Ghadi Ki Taraf Nahi Dekha !
कभी ख़ुशी से ख़ुशी की तरफ नहीं देखा,
तुम्हारे बाद किसी की तरफ नहीं देखा,
ये सोच कर के तेरा इंतजार लाजिम है,
तमाम उम्र घडी की तरफ नहीं देखा ।
Qayamat Ka Intezar Kiya
Ghazab Kiya Tere Wade Par Aitbaar Kiya,
Tamaam Raat Kiya Qayamat Ka Intezar Kiya!
ग़जब किया तेरे वादे पर एतबार किया ,
तमाम रात किया क़यामत का इंतज़ार किया।
Koyi Milta Nahi Humse
Koyi Milta Nahi Humse Humara Bankar,
Wo Mile Bhi To Ek Kinara Bankar,
Har Khwab Toot Ke Bikhra Kaanch Ki Tarah,
Bas Ek Intezaar Hai Saath Sahara Bankar!
कोई मिलता ही नहीं हमसे हमारा बनकर,
वो मिले भी तो एक किनारा बनकर,
हर ख्वाब टूट के बिखरा काँच की तरह,
बस एक इंतज़ार है साथ सहारा बनकर।
Laut Aane Ki Umeed
Aaj Tak Hai Uske Laut Aane Ki Umeed,
Aaj Tak Thahri Hai Zindgi Apni Jagah,
Laakh Ye Chaha Ki Use Bhool Jayen Par,
Hausle Apni Jagah Bebasi Apni Jagah !
आज तक है उसके लौट आने की उम्मीद,
आज तक ठहरी है ज़िंदगी अपनी जगह,
लाख ये चाहा कि उसे भूल जाये पर,
हौंसले अपनी जगह बेबसी अपनी जगह ।