- Home
- Judai Shayari
- Page-2
जुदाई शायरी
Meri Judai Mein Wo
मेरी जुदाई में वो मिलकर नहीं गया,
उसके बगैर मैं भी कोई मर नहीं गया।
Meri Judai Mein Wo Milkar Nahin Gaya,
Uske Bagair Main Bhi Koi Mar Nahin Gaya.
Judai Ishq Ka Dastoor
जुदाई इश्क़ का दस्तूर क्यूँ है
हम नहीं समझे,
मोहब्बत इस क़दर मजबूर क्यूँ है
हम नहीं समझे।
Judai Ishq Ka Dastoor Kyoon Hai
Hum Nahin Samjhe,
Mohabbat Is Qadar Majaboor Kyoon Hai
Hum Nahin Samjhe.
Tumse Juda Rahe
इस बे-फरेब प्यार के रस्ते में चन्द रोज,
अगर हम तुम्हारे साथ रहे भी तो क्या रहे,
कुछ ऐसे मोड़ आये मोहब्बत की राह में,
हम बदनसीब मिलके भी तुमसे जुदा रहे।
Is Be-Fareb Pyar Ke Raste Mein Chand Roj,
Agar Hum Tumhare Saath Rahe Bhi To Kya Rahe,
Kuchh Aise Mod Aaye Mohabbat Ki Raah Mein,
Hum BadNaseeb Mil Ke Bhi Tumse Juda Rahe.
Judai Ki Mahek Aane Lagi
सफर-ए-मोहब्बत अब खत्म ही समझिए साहब,
उनके रवैये से अब जुदाई की महक आने लगी है।
Safar-e-Mohabbat Ab Khatm Hi Samajhiye Saahab,
Unke Ravaiye Se Ab Judai Ki Mahek Aane Lagi Hai.
Tu Ne Apni Judaai Maangi
तुझे चाहा तो बहुत इजहार न कर सके,
कट गई उम्र किसी से प्यार न कर सके,
तूने माँगा भी तो अपनी जुदाई माँगी,
और हम थे कि तुझे इंकार न कर सके।
Tujhe Chaaha To Bahut Izhaar Na Kar Sake,
Kat Gai Umr Kisi Se Pyar Na Kar Sake,
Tu Ne Maanga Bhi To Apni Judaai Maangi,
Aur Hum The Ki Tujhe Inkaar Na Kar Sake.
Jab Koi Juda Hota Hai
मजबूरी में जब कोई किसी से जुदा होता है,
ये तो ज़रूरी नहीं कि वो बेवफ़ा होता है,
देकर वो आपकी आँखों में जुदाई के आँसू,
तन्हाई में वो आपसे भी ज्यादा रोता है।
Majboori Mein Jab Koi Kisi Se Juda Hota Hai,
Ye To Zaroori Nahin Ki Wo Bewafa Hota Hai,
Dekar Wo Aapki Aankhon Mein Judaai Ke Aansoo,
Tanhai Mein Wo Aapse Bhi Jyaada Rota Hai.
Ghazalon Mein Judaai Ki Baatein
हर एक बात पर वक़्त का तकाजा हुआ,
हर एक याद पर दिल का दर्द ताजा हुआ,
सुना करते थे ग़ज़लों में जुदाई की बातें,
खुद पे बीती तो हकीकत का अंदाजा हुआ।
Har Ek Baat Par Waqt Ka Takaja Hua,
Har Ek Yaad Par Dil Ka Dard Taaja Hua,
Suna Karte The Ghazalon Mein Judaai Ki Baatein,
Khud Pe Beeti To Hakeekat Ka Andaja Hua.
Humein Pukaara Na Karo
दिल से हमें पुकारा ना करो,
यूँ आँखों से इशारा ना करो,
तुमसे दूर हैं मजबूरी है हमारी,
तन्हाई में हमें यूँ तड़पाया ना करो।
Dil Se Humein Pukaara Na Karo,
Yoon Aankhon Se Ishaara Na Karo,
Tumse Door Hain Majboori Hai Humari,
Tanhai Mein Humein Yoon Tadpaya Na Karo.