- Home
- Love Shayari
- Page-7
Love Shayari
दिल से प्यार करते हो
ऊपर से गुस्सा दिल से प्यार करते हो,
नज़रें चुराते हो दिल बेक़रार करते हो,
लाख़ छुपाओ दुनिया से मुझको ख़बर है,
तुम मुझे ख़ुद से भी ज्यादा प्यार करते हो।
Upar Se Gussa Dil Se Pyaar Karte Ho,
Nazarein Churaate Ho Dil Beqaraar Karte Ho,
Laakh Chhupao Duniya Se Mujhko Khabar Hai,
Tum Mujhe Khud Se Bhi Jyaada Pyaar Karte Ho.
तुझको पाने की चाह शायरी
कभी तुझको पाने की चाह,
कभी तेरे इंतज़ार का लुत्फ़,
कभी तेरी याद की परवाह,
कभी खामोश सा तकल्लुफ।
~ललित कुमार शर्मा
Kabhi Tujhko Paane Ki Chaah,
Kabhi Tere Intezaar Ka Lutf,
Kabhi Teri Yaad Ki Parwaah,
Kabhi Khaamosh Sa Takalluph.
ज़िंदगी का पहला प्यार
दिल की धड़कन को दिखाया नहीं जाता,
मोहब्बत की आग को बुझाया नहीं जाता,
लाख जुदाई हो इस प्यार में फिर भी,
ज़िंदगी का पहला प्यार भुलाया नहीं जाता।
Dil Ki Dhadkan Ko Dikhaya Nahin Jata,
Mohabbat Ki Aag Ko Bujhaya Nahin Jata,
Laakh Judaai Ho Iss Pyaar Mein Phir Bhi,
Zindagi Ka Pehla Pyaar Bhulaya Nahin Jata.
प्यार में मिला हर दर्द
प्यार में मिला हर दर्द उपहार होता है,
प्यार वो होता है जिसमें इंतज़ार होता है,
सदियों तक इंतज़ार करते हैं वो लोग,
जिन्हें अपने प्यार पर ऐतबार होता है।
Pyar Mein Mila Har Dard Uphaar Hota Hai,
Pyar Wo Hota Hai Jis Mein Intezaar Hota Hai,
Sadiyon Tak Intezaar Karte Hain Wo Log,
Jinhein Apne Pyaar Par Aitbaar Hota Hai.
Jis Din Tujhe Dekha
ज़िंदगी बहुत ख़ूबसूरत है, सब कहते थे,
जिस दिन तुझे देखा, यकीन भी हो गया।
Zindagi Bahut KhoobSoorat Hai, Sab Kehte The,
Jis Din Tujhe Dekha, Yakeen Bhi Ho Gaya.
Tere Aks Ko Dekha
तेरे अक्स को इंतज़ार में देखा है,
चाहत का असर तेरे प्यार में देखा है,
लोग मंदिर-मस्जिद में जिसे ढूँढ़ते हैं,
उस खुदा को मैंने यार में देखा है।
Tere Aks Ko Intezaar Mein Dekha Hai,
Chaahat Ka Asar Tere Pyaar Mein Dekha Hai,
Log Mandir-Masjid Mein Jise Dhoondhate Hain,
Us Khuda Ko Mainne Yaar Mein Dekha Hai.
Khwaab Nahin Ehsaas Ho Tum
Sirf Khwaab Nahin Ehsaas Ho Tum,
Meri Kisi Duaa Ka Jawaab Ho Tum,
Maaloom Nahin Doon Kya Naam Tumhein Apne Jahaan Mein,
Mere Liye To Saara Jahaan Ho Tum.
सिर्फ ख्वाब नहीं एहसास हो तुम,
मेरी किसी दुआ का जवाब हो तुम,
मालूम नहीं दूँ क्या नाम तुम्हें अपने जहां में,
मेरे लिए तो सारा जहां हो तुम।
-अंकित
Tujhe Khuda Se Manga
Amal Se Bhi Manga Wafa Se Bhi Manga,
Tujhe Maine Teri Razaa Se Bhi Manga,
Na Kuchh Ho Saka Toh Dua Se Bhi Manga,
Kasam Hai Khuda Ki Khuda Se Bhi Manga.
अमल से भी माँगा वफ़ा से भी माँगा,
तुझे मैंने तेरी रज़ा से भी माँगा,
न कुछ हो सका तो दुआ से भी माँगा,
कसम है खुदा की खुदा से भी माँगा।