हिंदी शायरी

Aag Chaahat Ki

Najar Se Kyun Jalaate Ho Aag Chaahat Ki,
Jalakar Kyun Bujhaate Ho Aag Chaahat Ki,
Sard Raaton Mein Bhi Tapan Ka Ehsaas Rahe,
Hawaa Dekar Barhaate Ho Aag Chaahat Hi.

नजर से क्यूँ जलाते हो आग चाहत की,
जलाकर क्यूँ बुझाते हो आग चाहत की,
सर्द रातों में भी तपन का एहसास रहे,
हवा देकर बढ़ाते हो आग चाहत की।

-Advertisement-

Ishq Ki Kismat Bhi

Ishq Ki Kismat Bhi Shayari

इसमें इश्क़ की किस्मत भी बदल सकती थी,
जो वक़्त बीत गया मुझको आजमाने में।

Iss Mein Ishq Ki Kismat Bhi Badal Sakti Thi,
Jo Waqt Beet Gaya Mujhko Aajmaane Mein.

-Advertisement-

Mulakaat Ho Tujhse

Mulakaat Ho Tujhse Shayari

तेरे हर ग़म को अपनी रूह में उतार लूँ,
ज़िन्दगी अपनी तेरी चाहत में संवार लूँ,
मुलाकात हो तुझसे कुछ इस तरह मेरी,
सारी उम्र बस एक मुलाकात में गुजार लूँ।

Tere Har Gam Ko Apni Rooh Mein Utaar Loon,
Zindagi Apni Teri Chaahat Mein Sanvaar Loon,
Mulakaat Ho Tujhse Kuchh Iss Tarah Meri,
Saari Umr Bas Ek Mulakaat Mein Gujaar Loon.

Chaand Kehta Raha

तुझको देखा तो फिर किसी को नहीं देखा,
चाँद कहता रहा मैं चाँद हूँ... मैं चाँद हूँ...।

Tujhko Dekha To Phir Kisi Ko Nahin Dekha,
Chaand Kehta Raha Main Chaand Hoon... Main Chaand Hoon...

-Advertisement-

Tha Aaine Se Naazuk

हमने भी कभी चाहा था एक ऐसे शख्स को,
जो था आइने से नाज़ुक मगर था संगदिल।

Humne Bhi Kabhi Chaaha Tha Ek Aise Shakhs Ko,
Jo Tha Aaine Se Naazuk Magar Tha Sangdil.

-Advertisement-

Tum Mere Liye

Meri Aankhon Ke Khwaab Dil Ke Armaan Ho Tum,
Tum Se Hi Toh Main Hun Meri Pahchan Ho Tum,
Main Zameen Hun Agar To Mere Aasmaan Ho Tum,
Sach Maano Mere Liye Toh Saara Jahan Ho Tum.

मेरे आँखों के ख्वाब, दिल के अरमान हो तुम,
तुम से ही तो मैं हूँ , मेरी पहचान हो तुम,
मैं ज़मीन हूँ अगर तो मेरे आसमान हो तुम,
सच मानो मेरे लिए तो सारा जहां हो तुम।

Fever Mohabbat Ka

Fever Mohabbat Ka Shayari

Haseena Se Mile Najrein Attraction Ho Bhi Sakta Hai,
Charhe Fever Mohabbat Ka Toh Action Ho Bhi Sakta Hai,
Haseeno Ko Museebat Tum Samajh Kar Dur Hi Rehna,
Yeh Angreji Dawayein Hain Reaction Ho Bhi Sakta Hai.

हसीना से मिलें नजरें अट्रैक्शन हो भी सकता है,
चढ़े फीवर मोहब्बत का तो एक्शन हो भी सकता है,
हसीनों को मुसीबत तुम समझ कर दूर ही रहना,
ये अंग्रेजी दवाएं हैं रिएक्शन हो भी सकता है।

-Advertisement-

Puchhenge Apna Haal

Puchhenge Apna Haal Shayari

Gar Zindagi Mein Mil Gaye Phir Ittefaq Se,
Poochhenge Apna Haal Teri Beabsi Hum.

गर जिंदगी में मिल गए फिर इत्तेफाक से,
पूछेंगे अपना हाल तेरी बेबसी से हम।