हिंदी शायरी

Udta Hua Gubaar

Udta Hua Gubaar Shayari

Udta Hua Gubaar Sar-e-Raah Dekh Kar,
Anjaam Humne Ishq Ka Socha Toh Ro Diye,
Baadal Fiza Mein Aapki Tasvir Ban Gaye,
Saaya Koi Khayal Se Gujra To Ro Diye.

उड़ता हुआ गुबार सर-ए-राह देख कर,
अंजाम हमने इश्क़ का सोचा तो रो दिए,
बादल फिजा में आप की तस्वीर बन गए,
साया कोई ख्याल से गुजरा तो रो दिए।

-Advertisement-

Aankhein Barasti Hain

Aankhein Barasti Hain Shayari

Humare Shahar Aa Jaao Sadaa Barsaat Rahti Hai,
Kabhi Baadal Baraste Hain Kabhi Aankhein Barasti Hain.

हमारे शहर आ जाओ सदा बरसात रहती है,
कभी बादल बरसते हैं कभी आँखें बरसतीं हैं।

-Advertisement-

Raah Mein Sang Chalun

Raah Mein Sang Chalun Shayari

Raah Mein Sang Chalun Ye Na Ganwara Uss Ko,
Dur Rahkar Wo Karta Hai Ishaare Bahut,
Naam Tera Kabhi Aane Na Diya Honthhon Par,
Yoon Tere Zikr Se Sher Sanwaare Hain Bahut.

राह में संग चलूँ ये न गँवारा उसको,
दूर रहकर वो करता है इशारे बहुत,
नाम तेरा कभी आने न दिया होंठों पर,
यूँ तेरे जिक्र से शेर सँवारे हैं बहुत।

Teri Zid Ki Aadat

Barson Baad Bhi Teri Zid Ki Aadat Nahin Badli,
Kaash Hum Mohabbat Nahin... Teri Aadat Hote.

बरसों बाद भी तेरी जिद की आदत नहीं बदली,
काश हम मोहब्बत नहीं... तेरी आदत होते।

-Advertisement-

Dard Ke Saath Jeena

Meri Zindagi Ki Kahani Bhi Badi MashHoor Huyi,
Jab Main Bhi Kisi Ke Gham Mein Choor Huyi,
Mujhe Iss Dard Ke Saath Jeena Pada,
Kuchh Iss Kadar Main Waqt Ke Haatho Majboor Huyi.

Maine Jise Bhi Chaha Apna Banana,
Sabse Pehle Wahi Cheej MujhSe Dur Huyi,
Ek Baar Jo Gaye Phir Kahan Mile Wo Log,
JinKe Bina Meri Zindagi Benoor Huyi.

मेरी जिंदगी की कहानी भी बड़ी मशहूर हुई,
जब मैं भी किसी के ग़म में चूर हुई,
मुझे इस दर्द के साथ जीना पड़ा,
कुछ इस कदर मैं वक़्त के हाथों मजबूर हुई।

मैंने जिसे भी चाहा अपना बनाना,
सबसे पहले वही चीज मुझसे दूर हुई,
एक बार जो गए फिर कहाँ मिले वो लोग,
जिनके बिना मेरी जिंदगी बेनूर हुई।

-Advertisement-

Usne Sataya Bhi Nahin

Usne Sataya Bhi Nahin Shayari

Pyaas Dil Ki Bujhane Wo Kabhi Aaya Bhi Nahin,
Kaisa Baadal Hai Jiska Koi Saaya Bhi Nahin,
Berukhi Iss Se Badi Aur Bhala Kya Hogi,
Ek Muddat Se Humein Usne Sataya Bhi Nahin.

प्यास दिल की बुझाने वो कभी आया भी नहीं,
कैसा बादल है जिसका कोई साया भी नहीं,
बेरुखी इससे बड़ी और भला क्या होगी,
एक मुद्दत से हमें उसने सताया भी नहीं।

Dost Zindagi Ka Hissa

Khubsurat Sa Ek Pal Kissa Ban Jata Hai,
Jaane Kab Kaun Zindagi Ka Hissa Ban Jata Hai,
Kuchh Log Aise Bhi Milte Hain Zindagi Mein,
Jinse Kabhi Na Tutne Wala Rishta Ban Jata Hai.

खूबसूरत सा एक पल किस्सा बन जाता है,
जाने कब कौन जिंदगी का हिस्सा बन जाता है,
कुछ लोग ऐसे भी मिलते हैं जिंदगी में,
जिनसे कभी न टूटने वाला रिश्ता बन जाता है।

-Advertisement-

MujhKo Tere Naam Se

Dil Pe Aaye Hue iLjaam Se Pahchante Hain,
Log Ab MujhKo Tere Naam Se Pahchante Hain.

दिल पे आए हुए इल्ज़ाम से पहचानते हैं,
लोग अब मुझ को तेरे नाम से पहचानते हैं।