हिंदी शायरी

Ai Maut Ke Farishte

Ai Maut Ke Farishte Shayari

चैन तो छिन चुका है अब बस जान बाकी है,
अभी मोहब्बत में मेरा इम्तेहान बाकी है,
मिल जाना वक़्त पर पर ऐ मौत के फ़रिश्ते,
किसी को गिला है किसी का फरमान बाकी है।

Chain To Chhin Chuka Hai Ab Bas Jaan Baaki Hai,
Abhi Mohabbat Mein Mera Imtehaan Baaki Hai,
Mil Jaana Waqt Par Par Ai Maut Ke Farishte,
Kisi Ko Gila Hai Kisi Ka Farmaan Baaki Hai.

-Advertisement-

Dard Se Haath Na Milaate

दर्द से हाथ न मिलाते तो और क्या करते,
गम के आँसू न बहाते तो और क्या करते,
उसने माँगी थी हमसे रौशनी की दुआ,
हम अपना घर न जलाते तो और क्या करते।

Dard Se Haath Na Milaate To Aur Kya Karte,
Gham Ke Aansoo Na Bahaate To Aur Kya Karte,
Usne Maangi Thi Humse Roshani Ki Duaa,
Hum Apna Ghar Na Jalaate To Aur Kya Karte.

-Advertisement-

KhoobSoorat Paudha Vishwaas

जिंदगी का सबसे खूबसूरत पौधा विश्वास होता है,
जो जमीन में नहीं दिल में उगता है...।

Zindagi Ka Sabse KhoobSoorat Paudha Vishwaas Hota Hai
Jo Zamin Mein Nahin Dil Mein Ugta Hai...

Aaftaab Ki Garmi Se

आफताब की गर्मी से दरिया का पानी ख़त्म नहीं होता,
लैला के इंकार से मजनू का जज़्बा कम नहीं होता,
फ़िराक की मुसीबत हो या यार के वस्ल की लज़्ज़त,
किसी भी हाल में अश्कों का बहना काम नहीं होता।

Aaftaab Ki Garmi Se Dariya Ka Paani Khatm Nahin Hota,
Laila Ke Inkaar Se Mazanu Ka Jazba Kam Nahin Hota,
Firaak Ki Museebat Ho Ya Yaar Ke Vasl Ki Lazzat
Kisi Bhi Haal Mein Ashqon Ka Behna Kaam Nahin Hota.

-Advertisement-

Ashqon Ki Milawat Hai

Ashqon Ki Milawat Hai Shayari

Mere Khat Mein Jo Bhigi Bhigi Si Likhawat Hai,
Syahi Mein Thodi Si Mere Ashqon Ki Milawat Hai.

मेरे ख़त में जो भीगी भीगी सी लिखावट है,
स्याही में थोड़ी सी मेरे अश्कों की मिलावट है।

-Advertisement-

Rukte Nahin Hain Aansoo

कलम चलती है तो दिल की आवाज लिखता हूँ,
गम और जुदाई के अंदाज़-ए-बयां लिखता हूँ,
रुकते नहीं हैं मेरी आँखों से आँसू,
मैं जब भी उसकी याद में अल्फाज़ लिखता हूँ।

Kalam Chalti Hai To Dil Ki Aawaaj Likhta Hoon,
Gham Aur Judai Ke Andaaz-e-Bayaan Likhta Hoon,
Rukte Nahin Hain Meri Aankhon Se Aansoo,
Main Jab Bhi Uski Yaad Mein Alfaaz Likhta Hoon.

Gham Koi Na Samajh Paaya

एक हसरत थी सच्चा प्यार पाने की,
मगर चल पड़ी आँधियां जमाने की,
मेरा ग़म तो कोई ना समझ पाया,
क्यूंकि मेरी आदत थी सबको हँसाने की।

Ek Hasrat Thi Sachcha Pyaar Paane Ki,
Magar Chal Padi Aandhiyaan Zamane Ki,
Mera Gham To Koi Na Samajh Paaya,
Kyoonki Meri Aadat Thi Sabko Hansaane Ki.

-Advertisement-

Kisi Ki Yaad Mein

Aaj Bheegi Hain Palkein Kisi Ki Yaad Mein,
Aakash Bhi Simat Gaya Hai Apne Aap Mein,
Os Ki Boondein Aisi Giri Hain Zamin Par,
Maano Chaand Bhi Roya Hai Uski Yaad Mein.

आज भीगी है पलकें किसी की याद में,
आकाश भी सिमट गया है अपने आप में,
ओस कि बूदें ऐसी गिरी है जमीन पर,
मानो चाँद भी रोया हो उसकी याद में।