हिंदी शायरी

Bewafai Ke Baad Bhi

Humne Chaha Tha Jise Usey Dil Se Bhulaya Na Gaya,
Zakhm Apne Dil Ka Logon Se Chhupaya Na Gaya.
Bewafai Ke Baad Bhi Pyar Karta Hai Dil Unn Se,
Ke Bewafai Ka ilzam Bhi Unn Par Lagaya Na Gaya.

हमने चाहा था जिसे उसे दिल से भुलाया न गया,
जख्म अपने दिल का लोगों से छुपाया न गया,
बेवफाई के बाद भी प्यार करता है दिल उनसे,
कि बेवफाई का इल्ज़ाम भी उस पर लगाया न गया।

-Advertisement-

Kuchh Hai Ghaayal Jo

ये क्या है जो आँखों से रिसता है,
कुछ है भीतर जो यूं ही दुखता है,
कह सकता हूँ पर कहता भी नहीं,
कुछ है घायल जो यहाँ सिसकता है।

Ye Kya Hai Jo Aankhon Se Rista Hai,
Kuchh Hai Bheetar Jo Yoon Hi Dukhta Hai,
Keh Sakta Hoon Par Kehta Bhi Nahin,
Kuchh Hai Ghaayal Jo Yahaan Sisakta Hai.

-Advertisement-

Gham Mein Bhi Khush

Kisi Ne Puchha Gham Mein Bhi Khush Kaise Ho,
Maine Kaha, Pyar Sath De Na De Yaar Saath Hai.

वो पूछते हैं इतने गम में भी खुश कैसे हो?
मैने कहा, प्यार साथ दे न दे, यार साथ हैं!

Newton Sang Yaad Tumhaari

अंधकार के घोर तिमिर में हॅसने के बाद रुलाती है,
तन्हाई और गम है साथ ये जिंदगी भी तड़पाती है,
मेरी हालत भी मुझसे जलती और रूठ जाती है,
जब आइंस्टीन और न्यूटन संग याद तुम्हारी आती है।

Andhkaar Ke Ghor Timir Mein Hansne Ke Baad Rulaati Hai,
Tanhai Aur Gham Hai Saath Ye Zindagi Bhi Tadpaati Hai,
Meri Haalat Bhi Mujhse Jalti Aur Rooth Jaati Hai,
Jab Einstein Aur Newton Sang Yaad Tumhaari Aati Hai.

-Advertisement-

Hum Gilaas Ho Gaye

Ek Bewafa Ki Yaad Mein
Hum Kuchh Khaas Ho Gaye,
Pehle To Hum Lota The...
Ab Gilaas Ho Gaye.

एक बेवफा की याद में
हम कुछ ख़ास हो गए,
पहले हम लोटा थे...
अब गिलास हो गए।

-Advertisement-

Uske Bina Jeena

जिंदगी हसीन है पर जीना नहीं आता,
हर चीज में नशा है पर पीना नहीं आता,
सब मेरे बगैर जी सकते हैं...
बस मुझे ही किसी के बिना जीना नहीं आता।

Zindagi Haseen Hai Par Jeena Nahin Aata,
Har Cheej Mein Nasha Hai Par Peena Nahin Aata,
Sab Mere Bagair Ji Sakte Hain...
Bas Mujhe Hi Kisi Ke Bina Jeena Nahin Aata.

Tu Haseen Lafz

Uff Yeh Nazakat Yeh Shokhiyan Ye Takalluf,
Kahin Tu Urdu Ka Koi Haseen Lafz Toh Nahi.

उफ्फ ये नज़ाकत ये शोखियाँ ये तकल्लुफ़,
कहीं तू उर्दू का कोई हसीन लफ्ज़ तो नहीं।

-Advertisement-

Der Yaad Karne Mein Huyi

अगर खता हो गयी तो फिर सज़ा सुना दो,
दिल में इतना दर्द क्यूँ है वजह बता दो,
देर हो गयी आपको याद करने में जरूर,
लेकिन तुमको भुला देंगे ये ख्याल मिटा दो।

Agar Khata Ho Gayi To Phir Saza Suna Do,
Dil Mein Itna Dard Kyoon Hai Wajah Bata Do,
Der Ho Gayi Aapko Yaad Karne Mein Jaroor,
Lekin Tumko Bhula Denge Ye Khyaal Mita Do.