हिंदी शायरी

Hothhon Se Chhoo Kar

उसने होठों से छू कर
दरिया का पानी गुलाबी कर दिया,
हमारी तो बात और थी उसने
मछलियों को भी शराबी कर दिया।

Usne Hothhon Se Chhoo Kar
Dariya Ka Paani Gulaabi Kar Diya,
Humari To Baat Aur Thi Usne
Machhaliyon Ko Bhi Sharabi Kar Diya.

-Advertisement-

Agar Tu Zid Hoti

सुन पगली...
तू मोहब्बत है मेरी इसलिए दूर है मुझसे,
अगर जिद होती तो मेरी बाहों में होती।

Sun Pagali...
Tu Mohabbat Hai Meri Isaliye Door Hai Mujhse,
Agar Zid Hoti To Meri Baahon Mein Hoti.

-Advertisement-

Dil Mein Jagah Dena Dost

Baatein Aisi Karo Ki Jazbaat Kam Na Ho,
Khayalat Aise Rakho Ki Kabhi Gham Na Ho,
Dil Mein Apni Itni Jagah Dena Humein Dost,
Ke Khali-Khali Sa Lage Jab Hum Na Ho.

बातें ऐसी करो कि जज्बात कम न हों,
ख़यालात ऐसे रखो कि कभी ग़म न हो,
दिल में अपनी इतनी जगह देना हमें दोस्त,
कि खाली खाली सा लगे जब हम न हों।

Tadpaya Nahin Karte

यूँ दूर रहकर दूरियों को बढ़ाया नहीं करते,
अपने दीवानों को ऐसे सताया नहीं करते,
हर वक़्त बस जिसे तुम्हारा हो ख्याल,
उसे अपनी आवाज़ के लिए तड़पाया नहीं करते।

Yoon Door Rehkar Dooriyon Ko Barhaya Nahin Karte,
Apne Deewanon Ko Aise Sataaya Nahin Karte,
Har Waqt Bas Jise Tumhara Ho Khyaal,
Use Apni Aawaaz Ke Liye Tadpaya Nahin Karte.
Missing You Dear...

-Advertisement-

Dosti Hoti Hai Anamol

खुशबू की तरह मेरी सांसों में रहना,
लहू बनके मेरे आँसुओं में बहना,
दोस्ती होती है रिश्तों का अनमोल गहना,
इसीलिए दोस्त को कभी अलविदा न कहना।

Khushboo Ki Tarah Meri Saanson Mein Rehna,
Lahoo Banke Mere Aansuon Mein Behna,
Dosti Hoti Hai Rishton Ka Anamol Gehna,
Iseeliye Dost Ko Kabhi Alavida Na Kehna.

-Advertisement-

Rag-Rag Mein Sama Kar

Rag-Rag Mein Sama Kar Shayari

रग-रग में इस तरह से समा कर चले गये,
जैसे मुझ ही को मुझसे चुराकर चले गये,
आये थे मेरे दिल की प्यास बुझाने के वास्ते,
इक आग सी वो और लगा कर चले गये।

Rag-Rag Mein Iss Tarah Se Sama Kar Chale Gaye,
Jaise Mujh Hi Ko Mujhse Churaakar Chale Gaye,
Aaye The Mere Dil Ki Pyaas Bujhaane Ke Vaaste,
Ik Aag Si Wo Aur Laga Kar Chale Gaye.

Dil Ke Tadapne Ka

Dil Ke Tadapne Ka Kuchh To Sabab Hai Aakhir,
Ya Dard Ne Karbat Li Hai Ya Tumne Idhar Dekha.

दिल के तड़पने का कुछ तो सबब है आख़िर
या दर्द ने करवट ली है या तुमने इधर देखा है।

-Advertisement-

Likha Toh Hai Safar

Likha Toh Hai Safar Shayari

Ajeeb Si Paheliyan Hain Mere Haathon Ki Lakeeron Mein,
Likha Toh Hai Safar Magar Manzil Ka Nishaan Nahi.

अजीब सी पहेलियाँ हैं मेरे हाथों की लकीरों में,
लिखा तो है सफ़र मगर मंज़िल का निशान नहीं।