- Home
- Page-136
हिंदी शायरी
Jheel Ke Pani Ki Tarah
Tumne Chaha Hi Nahi Ye Halaat Badal Sakte The,
Tumhare Aansu Meri Aankhon Se Bhi Nikal Sakte The,
Tum To Thhehre Rahe Jheel Ke Paani Ki Tarah,
Dariya Bante To Bahut Dur Nikal Sakte The.
तुमने चाहा ही नहीं ये हालात बदल सकते थे,
तुम्हारे आँसू मेरी आँखों से भी निकल सकते थे,
तुम तो ठहरे रहे झील के पानी की तरह बस,
दरिया बनते तो बहुत दूर निकल सकते थे।
Dil Ne Adaa Kar Diya
इस दिल ने अदा कर दिया हक होने का अपने,
नफ़रत भी बहुत की है मोहब्बत भी बहुत की।
Iss Dil Ne Adaa Kar Diya Hak Hone Ka Apne,
Nafarat Bhi Bahut Ki Hai Mohabbat Bhi Bahut Ki.
Ye Shero-Shaayari Sab
ये शेरो-शायरी सब उसी की मेहरबानी है,
वो कसक जो सीने से आज भी नहीं जाती।
Ye Shero-Shaayari Sab Usi Ki Meharbaani Hai,
Wo Kasak Jo Seene Se Aaj Bhi Nahin Jaati.
Tere Ishq Ka Gham
तुझको पा कर भी न कम हो सकी मेरी बेताबी,
इतना आसान तेरे इश्क़ का ग़म था ही नहीं।
Tujhko Pa Kar Bhi Na Kam Ho Saki Meri Betaabi,
Itna Aasaan Tere Ishq Ka Gham Tha Hi Nahin.
Aawara Khayalon Ki Tarah

Mujhse Najar To Milao Ke Hajaaro Chehre,
Meri Aankhon Mein Sulagte Hain Sawalon Ki Tarah,
Justjoo Ne Kisi Manzil Pe Thhehrne Na Diya,
Hum Bhatakte Rahe Aawara Khayalon Ki Tarah.
मुझसे नजरें तो मिलाओ कि हजारों चेहरे,
मेरी आँखों में सुलगते हैं सवालों की तरह,
जुस्तजू ने किसी मंजिल पे ठहरने न दिया,
हम भटकते रहे आवारा ख्यालों की तरह।
Ye Ishq Bhi Sharaab
ये इश्क भी शराब का नशा जैसा है दोस्तों,
करें तो मर जाएँ और छोड़े तो किधर जाएँ।
Ye Ishq Bhi Sharaab Ka Nasha Jaisa Hai Doston,
Karein To Mar Jaaein Aur Chhode To Kidhar Jaaein.
Unhein Koi Gham Nahi
Aansuon Se Jin Ki Aankhein Nam Nahi,
Kya Samjhte Ho Ke Unhein Koi Gham Nahi,
Tadap Kar Ro Diye Gar Tum To Kya Hua,
Gham Chhupa Kar Hansne Wale Bhi Kam Nahi.
आँसुओं से जिनकी आँखें नम नहीं,
क्या समझते हो कि उन्हें कोई गम नहीं?
तड़प कर रो दिए गर तुम तो क्या हुआ,
गम छुपा कर हँसने वाले भी कम नहीं।
Aakhir Kaun Sa Mausam

उसे इस बार वफ़ाओं से गुज़र जाने की जल्दी थी,
मगर अबके मुझे अपने घर जाने की जल्दी थी,
मैं आखिर कौन सा मौसम तुम्हारे नाम कर देता,
यहाँ हर एक मौसम को गुज़र जाने की जल्दी थी।
Usey Iss Baar Wafaon Se Guzar Jaane Ki Jaldi Thi,
Magar Ab Ke Mujhe Apne Ghar Jaane Ki Jaldi Thi,
Main Aakhir Kaun Sa Mausam Tumhare Naam Kar Deta,
Yahaan Har Ek Mausam Ko Guzar Jaane Ki Jaldi Thi.