हिंदी शायरी

Tumhe Ghairon Se Kab Fursat

Tumhe Ghairon Se Kab Fursat
Hum Apne Gham Se Kab Khaali,

Chalo Bas Ho Chuka Milna
Na Tum Khaali Na Hum Khaali !

तुम्हें ग़ैरों से कब फुर्सत
हम अपने ग़म से कब ख़ाली,

चलो बस हो चुका मिलना
न तुम ख़ाली न हम ख़ाली ।।

-Advertisement-

Chhorh To Sakta Hu Magar

Chhorh To Sakta Hu Magar Chhorh Nahi Paata Use,
Wo Shakhs Meri Bigadi Huyi Aadat Ki Tarah Hai !!

छोड़ तो सकता हूँ मगर छोड़ नहीं पाता उसे,
वो शख्स मेरी बिगड़ी हुई आदत की तरह है ।

-Advertisement-

Ehsaas-e-Mohabbat Ke Liye

Ehsaas-e-Mohabbat Ke Liye
Bas Itna Hi Kaafi Hai,
Tere Bagair Bhi Hum Tere Hi Rahte Hain !

एहसास-ए-मुहब्बत के लिए
बस इतना ही काफी है,
तेरे बगैर भी हम, तेरे ही रहते हैं...।

Chamak Suraj Ki Nahi

Chamak Suraj Ki Nahi Mere Kirdaar Ki Hai,
Khabar Ye Aasmaan Ke Akhbaar Ki Hai !

Main Chaloon To Mere Sang Kaarwan Chale,
Baat Guroor Ki Nahi Aitwaar Ki Hai !

चमक सूरज की नहीं मेरे किरदार की है,
खबर ये आसमाँ के अखबार की है।

मैं चलूँ तो मेरे संग कारवाँ चले,
बात गुरूर की नहीं, ऐतबार की है।।

-Advertisement-

Ajeeb Mithaas Hai

Ajeeb Mithaas Hai Mujh Gareeb Ke Khoon Me Bhi,
Jise Bhi Mauka Milta Hai Woh Peeta Zaroor Hai !!

अजीब मिठास है मुझ गरीब के खून में भी,
जिसे भी मौका मिलता है वो पीता जरुर है ।

-Advertisement-

Khareed Lenge Udaasiyan

Khareed Lenge Sabki Saari Udaasiyan Dosto!
Sikke Humaare Mijaaz Ke Chalenge Jis Roz !!

खरीद लेंगे सबकी सारी उदासियाँ दोस्तों ।
सिक्के हमारे मिजाज़ के, चलेंगे जिस रोज ।।

Hukumat Bajuon Ke Zor Par

Hukumat Bajuon Ke Zor Par To Koyi Bhi Kar Le,
Jo Sabke Dil Pe Chha Jaaye Use Insaan Kahte Hain!

हुकूमत बाजुओं के ज़ोर पर तो कोई भी कर ले,
जो सबके दिल पे छा जाए उसे इंसान कहते हैं।

-Advertisement-

Roya Hai Fursat Se

Roya Hai Fursat Se Koyi Meri Tarah Saari Raat Yakeenan,
Varna Rukhsat-e-March Me Yahan Barsaat Nahi Hoti !

रोया है फ़ुर्सत से कोई मेरी तरह सारी रात यकीनन,
वर्ना रुख़सत-ए- मार्च में यहाँ बरसात नहीं होती...।