हिंदी शायरी

Humari Saadgi

Humari Saadgi Shayari

Humari Saadgi Hi GumNaam Rakhti Hai Humein,
Jara Sa Bigad Jaayein To MashHoor Ho Jayein.

हमारी सादगी ही गुमनाम रखती है हमें,
जरा सा बिगड़ जाएं तो मशहूर हो जाएं।

-Advertisement-

Koi Chanda Bhi Na Dega

Marna Hai To Maro Watan Ke Liye,
Kyon Marte Ho Ek Dulhan Ke Liye,
Ishq Ki Galiyon Mein Maare Jaaoge,
Koi Chanda Bhi Na Dega Kafan Ke Liye.

मरना हैं तो मरो अपने वतन के लिये,
क्यों मरतें हो एक दुल्हन के लिये,
इश्क के गलियों में खींचकर मारे जाओगे,
कोई चन्दा भी ना देगा कफन के लिये।

-Advertisement-

Zid To Uski Hai

मिल जाए आसानी से उसकी ख्वाहिश किसे है,
जिद तो उसकी है जो मुक़द्दर में ही नहीं है।

Mil Jaaye Aasaani Se Uski Khwahish Kise Hai,
Zid To Uski Hai Jo Mukaddar Mein Hi Nahin Hai.

Muskurana Zindagi Mein

Phoolon Ki Tarah Muskurana Zindagi Mein,
Muskura Ke Gham Bhulana Zindagi Mein,
Jeet Kar Khush Huye To Kya Khush Huye,
Haar Kar Bhi Muskurana Zindagi Mein.

फूलों की तरह मुस्कुराना जिंदगी में,
मुस्कुरा के गम भुलाना जिंदगी में,
जीत कर खुश हुए तो क्या खुश हुए,
हार कर भी मुस्कुराना जिंदगी में।

-Advertisement-

Jara Chhoo Loon Tumko

जरा छू लूँ तुमको कि मुझको यकीं आ जाये,
लोग कहते हैं मुझे साये से मोहब्बत है।

Jara Chhoo Loon Tumko Ki Mujhko Yakeen Aa Jaaye,
Log Kehte Hain Mujhe Saaye Se Mohabbat Hai.

-Advertisement-

Teri Yaad Ke Bina

Teri Yaad Ke Bina Shayari

Zindagi Kuchh Adhoori Si Lage Tere Pyar Ke Bina,
Munasib Nahi Hai Jeena Ab Tere Saath Ke Bina,
Chhodkar Teri Chahat Paraai Lage Ye Duniya Saari,
Dil Ne Seekha Nahi Dhadkna Teri Yaad Ke Bina.
Missing You Dear...

ज़िंदगी कुछ अधूरी सी लगे तेरे प्यार के बिना,
मुनासिब नहीं है जीना अब तेरे साथ के बिना,
छोड़कर तेरी चाहत पराई लगे ये दुनिया सारी,
दिल ने सीखा नहीं धड़कना तेरी याद के बिना।
मिसिंग यू...

Maa Ki God Mein

नादान हो जो उम्र गँवाते हो
वफा की तलाश में,
गर जो आए समझ तो
माँ की गोद में जाकर देखो।

Nadaan Ho Jo Umr Ganvaate Ho
Wafa Ki Talaash Mein,
Gar Jo Aaye Samajh To
Maa Ki God Mein Jaakar Dekho.

-Advertisement-

Ishq Ki Pehchaan

सिर्फ सितारों में ही होती मोहब्बत अगर,
तो इन अल्फाजों को खूबसूरती कौन देता,
बस पत्थर बनकर रह जाता ताजमहल,
अगर इश्क़ इसे अपनी पहचान ना देता।

Sirf Sitaaron Mein Hi Hoti Mohabbat Agar,
To In Alfaazon Ko KhoobSoorati Kaun Deta,
Bas Patthar Bankar Reh Jaata Tajmahal,
Agar Ishq Ise Apni Pehchaan Na Deta.