Search Results for : लकी

अपनी कमी छोड़ जाऊंगा

दुनिया में मैं अपनी कमी छोड़ जाऊंगा,
राहों पर इंतजार की लकीर छोड़ जाऊंगा,
याद रखना एक दिन मुझे ढूढ़ते फिरोगे,
आँखों में आपके मैं नमी छोड़ जाऊंगा।

Duniya Mein Main Apni Kami Chhod Jaoonga,
Raahon Par Intezaar Ki Lakeer Chhod Jaoonga,
Yaad Rakhna Ek Din Mujhe Dhoodate Firoge,
Aankhon Mein Aapke Main Nami Chhod Jaoonga.

Wahin Par Dard Milta Hai

Jaane Kya Likha Hai
Mere Haathon Ki Lakeeron Mein,
Main Jahan Bhi Jata Hoon
Wahin Par Dard Milta Hai.

जाने क्या लिखा है
मेरी हाथों की लकीरों में,
मैं जहाँ भी जाता हूँ
वहीं पर दर्द मिलता है।

Adhoore Se Kuchh Kisse

तलाशी मेरे हाथों की लेकर क्या पा लोगे तुम,
चंद लकीरों में छिपे अधूरे से कुछ किस्से हैं।

Talashi Mere Haathon Ki Lekar Kya Pa Loge Tum,
Chand Lakeeron Mein Chhipe Adhoore Se Kuchh Kisse Hain.

Adhoore Se Kuchh Kisse शायरी

Haathon Ki Lakeeron Mein

Lag Gayi Aag Zamane Mein To Bacha Kaya Hai,
Agar Bach Gaya Main To Fir Jala Kya Hai,
Mehnat Se Hi Yahan Sabkuchh Milta Hai Dosto,
Inn Haathon Ki Lakeeron Mein Rakha Kya Hai.

लग गयी आग जमाने में तो बचा क्या है,
अगर बच गया मैं तो फिर जला क्या है,
मेहनत से ही यहाँ सबकुछ मिलता है दोस्तो,
इन हाथों की लकीरों में रखा क्या है।

Kabhi Niraash Nahi Hote

Takdeer Ke Khel Se Niraash Nahi Hote,
Zindagi Mein Aise Kabhi Udaas Nahi Hote,
Haathon Ki Lakeeron Par Kyun Bharosha Karte Ho,
Takdeer Unki Bhi Hoti Hai Jinke Haath Nahi Hote.

तकदीर के खेल से निराश नहीं होते,
जिंदगी में ऐसे कभी उदास नहीं होते,
हाथों की लकीरों पर क्यों भरोसा करते हो,
तकदीर उनकी भी होती है जिनके हाथ नहीं होते।