दो लाइन शायरी

Muddat Ke Baad Usne

Muddat Ke Baad Usne Jo Aawaz Di Mujhe,
Kadmon Ki Kya Bisaat Thi Saanse Bhi Thehar Gayin.

मुद्दत के बाद उसने जो आवाज़ दी मुझे,
कदमों की क्या बिसात थी, साँसे ठहर गयीं।

-Advertisement-

Ummid Humdardi Ki

Ummid Na Kar Iss Duniya Mein HumDardi Ki,
Bade Pyaar Se Zakhm Dete Hain Shiddat Se Chahne Wale.

उम्मीद ना कर इस दुनिया में हमदर्दी की,
बड़े प्यार से जख्म देते हैं शिद्दत से चाहने वाले।

-Advertisement-

Badnaam Karte Karte

Apni Shakhsiyat Ki Kya Misaal Du Yaro
Na Jane Kitne MashHoor Ho Gaye
Mujhe Badnaam Karte Karte !

अपनी शख्शियत की क्या मिसाल दूँ यारों...
ना जाने कितने मशहूर हो गये
मुझे बदनाम करते करते।

Chhed Aati Hain Kabhi

Chhed Aati Hain Kabhi Lab Ko Kabhi Rukhsaro Ko,
Tumne Zulfon Ko Bahut Sar Chada Rakha Hai !

छेड़ आती हैं कभी लब तो कभी रूखसारों को
तुमने ज़ुल्फ़ों को बहुत सर पर चढा रखा है ।

-Advertisement-

Raah Me Mile The

Raah Me Mile The Hum Raahe Naseeb Ban Gayin,
Na Tu Apne Ghar Gaya Na Hum Apne Ghar Gaye !

राह में मिले थे हम, राहें नसीब बन गईं,
ना तू अपने घर गया, ना हम अपने घर गये ।

-Advertisement-

Us Mehfil Me Dil

Ye Na Jane The Ki Us Mehfil Me Dil Rah Jayega,
Hum Ye Samjhe The Ki Chale Ayenge Dum Bhar Dekh Kar !

ये न जाने थे कि उस महफ़िल में दिल रह जाएगा,
हम ये समझे थे कि चले आएँगे दम भर देख कर।

Dil Ne Bura Nahi Chaha

Tere Liye Kabhi Is Dil Ne Bura Nahi Chaha,
Ye Aur Baat Hai Ke Mujhe Sabit Karna Nahi Aya !

तेरे लिए कभी इस दिल ने बुरा नहीं चाहा,
ये और बात हैं कि मुझे ये साबित करना नहीं आया ।

-Advertisement-

Fir Wohi Mera Qasoor

Fir Wohi Mera Qasoor Shayari

Fir Wohi Dil Ki Guzarish
Fir Wohi Unka Guroor,
Fir Wohi Unki Shararat,
Fir Wohi Mera Qasoor !!

फिर वही दिल की गुज़ारिश,
फिर वही उनका ग़ुरूर,
फिर वही उनकी शरारत,
फिर वही मेरा कुसूर ।।