- Home
- Two Line Shayari
- Page-14
दो लाइन शायरी
Main Khud Se Naraj
Na Khushi Ki Talash Hai, Na Gham-e-Nijaat Ki Aarzoo,
Main Khud Se Naraj Hoon... Teri Narajgi Ke Baad.
न ख़ुशी की तलाश है, न ग़म-ए-निजात की आरज़ू,
मैं खुद से भी नाराज हूँ तेरी नाराज़गी के बाद।
लम्हे नही टूटा करते
हाथ छुटे भी तो रिश्ते नही छोड़ा करते,
वक्त की शाख से लम्हे नही टूटा करते l
Samandar Ki Musaafat
Abhi To Saath Chalna Hai,
Samandar Ki Musaafat Mein,
Kinare Par Hi Dekhenge,
Kinara Kaun Karta Hai.
अभी तो साथ चलना है, समंदर की मुसाफत में,
किनारे पर ही देखेंगे, किनारा कौन करता है ।
Kaante Nikaal Kar
Mohabbat Ke Kafile Ko Kuchh Der To Rok Lo,
Aate Hain Hum Bhi Paaon Se Kaante Nikaal Kar.
मोहब्बत के काफिले को कुछ देर तो रोक लो,
आते हैं हम भी पाँव से... कांटे निकाल कर।
Chaahe Yaar Aaye
Tamanna Yehi Hai Bas Ek Baar Aaye,
Chaahe Maut Aaye... Chaahe Yaar Aaye.
तमन्ना यही है बस एक बार आये,
चाहे मौत आये... चाहे यार आये...।
Amaanat Kisi Ajnabi Ki
Mujhse Chheeno Na Dil Ki Veerani,
Yeh Amaanat Kisi Ajnabi Ki Hai.
मुझसे छीनो न दिल की वीरानी,
यह अमानत किसी अजनबी की है ।
Tarasi Huyi Nigaah
Fariyad Kar Rahi Hai Ye Tarasi Huyi Nigaah,
Dekhe Huye Kisi Ko Zamana Gujar Gaya..!
फरियाद कर रही है ये तरसी हुई निगाह,
देखे हुए किसी को ज़माना गुजर गया।
Bikharne Ka Sabab
Bikharne Ka Sabab Kya Kahein Yaaro Kisi Se Ab,
Kaanch TootTa Hai To Kuchh Tukde Sametne Mein Nahi Aate.
बिखरने का सब़ब क्या कहें यारों किसी से अब,
काँच टूटता है तो कुछ टुकड़े समेटने में नहीं आते।