दो लाइन शायरी

Zamana Us Ke Jaisa Hai

Woh Samajhta Hai Ki Har Shakhs Badal Jata Hai,
Usey Lagta Hai Ki Zamana Us Ke Jaisa Hai.

वो समझता है कि हर शख्स बदल जाता है,
उसे लगता है कि ज़माना उस के जैसा है।

-Advertisement-

Ujaalon Ki Khudkushi

Ujaalon Ki Khudkushi Shayari

सुबूत हैं मेरे घर में धुएँ के ये धब्बे,
अभी यहाँ पर उजालों ने ख़ुदकुशी की है।

Saboot Hain Mere Ghar Mein Dhuyein Ke Ye Dhabbe,
Abhi Yahan Par Ujaalon Ne KhudKushi Ki Hai.

-Advertisement-

Chehre Se Jo Zaahir Hai

अपने चेहरे से जो जाहिर है छुपाएँ कैसे,
तेरी मर्जी के मुताबिक नजर आएँ कैसे।

Apne Chehre Se Jo Zaahir Hai Chhupaayein Kaise,
Teri Marzi Ke Mutaabiq Nazar Aayein Kaise.

Shauk-e-Safar Kahan Le Gaya

Shauk-e-Safar Kahan Le Gaya Shayari

शौक-ए-सफ़र कहाँ से कहाँ ले गया हमें,
हम जिस को छोड़ आये हैं मंजिल वही तो थी।

Shauk-e-Safar Kahan Se Kahan Le Gaya Humein,
Hum Jis Ko Chhod Aaye Hain Manzil Wahi To Thi.

-Advertisement-

Kise Paar Utarna Hai

कौन डूबेगा किसे पार उतरना है ज़फ़र,
फ़ैसला वक़्त के दरिया में उतर कर होगा।

Kaun Doobega Kise Paar Utarna Hai Zafar,
Faisla Waqt Ke Dariya Mein Utar Mein Utar Kar Hoga.

-Advertisement-

Hum Khatawar Huye

Hum Khatawar Huye Shayari

Wo Qatl Kar Ke Bhi Munsifo Mein Shamil Hai,
Hum Jaan De Kar Bhi Zamane Mein Khatawar Huye.

वो क़त्ल कर के भी मुंसिफों में शामिल है,
हम जान देकर भी जमाने में खतावार हुए।

Raaz Rishton Ke

वख्त-ए-तह में रहने दो राज रिश्तों के...
आजकल किताबों से उड़ने लगी हैं
तहरीरें हवा में।

Wakht-e-Teh Mein Rehne Do Raaz Rishton Ke...
AajKal Kitaabon Se Udne Lagi Hain
Tehreerein Hawa Mein.

-Advertisement-

Mere Paanv Ke Chhalo

Mere Paanv Ke Chhalo Shayari

ऐ मेरे पाँव के छालो... जरा लहू उगलो,
सिरफिरे मुझसे सफ़र के निशान माँगेंगे।

Ai Mere Paanv Ke Chhalo... Jara Lahoo Uglo,
Sirfire Mujhse Safar Ke Nishaan Mangenge.