दो लाइन शायरी

Shayari Mein Jeet Pana

Aasaan Nahi Hai Humse Yoon Shayari Mein Jeet Pana..!!
Hum Har Ek Lafz Mohabbat Mein Haar Kar Likhte Hain.

आसान नहीं है हमसे यूँ शायरी में जीत पाना..!!
हम हर एक लफ्ज़ मोहब्बत में हार कर लिखते हैं।
- सज्जाद अली

-Advertisement-

Kabhi Tinke Kabhi Patte

Kabhi Tinke Kabhi Patte Shayari

कभी तिनके, कभी पत्ते, कभी खुशबू उड़ा लाई,
हमारे घर तो आँधी भी कभी तनहा नहीं आई।

Kabhi Tinke, Kabhi Patte, Kabhi Khushboo Udaa Laayi,
Humaare Ghar To Aandhi Bhi Kabhi Tanha Nahi Aayi.

-Advertisement-

Talab Ki Raah Mein

तलब की राह में पाने से पहले खोना पड़ता है,
बड़े सौदे नज़र में हो तो छोटा होना पड़ता है।

Talab Ki Raah Mein Paane Se Pehle Khona Padta Hai,
Bade Saude Nazar Mein Ho To Chhota Hona Padta Hai.

Wo Zindagi Kya Hai

किसी के काम न जो आए वो आदमी क्या है,
जो अपनी फिक्र में गुजरे वो ज़िन्दगी क्या है।

Kisi Ke Kaam Na Jo Aaye Wo Aadmi Kya Hai,
Jo Apni Fikr Mein Gujre Wo Zindagi Kya Hai.

-Advertisement-

Gunaah Karke Kahaan Jaaoge

गुनाह करके कहाँ जाओगे गालिब,
ये जमीन और आसमान सब उसी का है।

Gunaah Karke Kahaan Jaaoge Galib,
Ye Zamin Aur Aasmaan Sab Usee Ka Hai.

-Advertisement-

Kis Kadar Nadim Hua

Kis Kadar Nadim Hua Shayari

Kis Kadar Nadim Hua Hoon Main Bura Keh Kar Usey,
Kya Khabar Thi Jaate-Jaate Wo Duaa De Jayega.

किस कदर नादिम हुआ हूँ मैं बुरा कहकर उसे,
क्या खबर थी जाते-जाते वो दुआ दे जायेगा।

Kuchh Aise Bhi Yehan

रात में हैवान दिन में इंसान बने बैठे हैं,
कुछ ऐसे भी भगवान बने बैठे हैं।

Raat Mein Haivaan Din Mein Insaan Bane Baithe Hain,
Kuchh Aise Bhi Yehan Bhagvaan Bane Baithe Hain.

-Advertisement-

Milne Nahi Detin Ranjishein

Umr Bhar Milne Nahi Detin Hain Ab To Ranjishein,
Waqt Humse Roothh Jaane Ki Adaa Tak Le Gaya.

उम्र भर मिलने नहीं देती हैं अब तो रंजिशें,
वक़्त हम से रूठ जाने की अदा तक ले गया।