दो लाइन शायरी

Baat Ke Sau Pehloo

Baat Ke Sau Pehloo Shayari

बात वो कहिए कि जिस बात के सौ पहलू हों,
कोई पहलू तो रहे बात बदलने के लिए।

Baat Wo Kahiye Ke Jis Baat Ke Sau Pehloo Hon,
Koi Pehloo To Rahe Baat Badalne Ke Liye.

-Advertisement-

Zaar-Zaar Roi Aankhein

ज़ार-ज़ार रोई आँखें ठहर गई दिल की धड़कन,
मेरे अपनों में मेरी औकात का मंज़र देखकर।

Zaar-Zaar Roi Aankhein Thhehar Gayi Dil Ki Dhadakan,
Mere Apnon Mein Meri Aukaat Ka Manzar Dekhkar.

-Advertisement-

Duniya Kahreed Legi Tujhe

Duniya Kahreed Legi Tujhe Shayari

Duniya Kahreed Legi Tujhe Har Ek Mod Par,
Tu Ne Zamir Bech Kar Achchha Nahi Kiya.

दुनिया खरीद लेगी हर मोड़ पर तुझे,
तूने जमीर बेचकर अच्छा नहीं किया।

Gair Teri Mehfil Mein

हम कब तक ग़ैरों की तरह
तेरी महफ़िल में रहें,
अपना तो कहो झूठा ही सही
हर बात गंवारा हो हो जाये।

Hum Kab Tak Gairon Ki Tarah
Teri Mehfil Mein Rahein,
Apna To Kaho Jhootha Hi Sahi
Har Baat Ganvaara Ho Jaaye.

-Advertisement-

Khud Se Door Hota Hai

Khuda To Ek Taraf Khud Se Bhi Koso Door Hota Hai,
Insaan Jis Waqt Taqat Ke Nashe Mein Choor Hota Hai.

खुदा तो इक तरफ, खुद से भी कोसों दूर होता है,
इंसान जिस वक्त ताकत के नशे में चूर होता है।

-Advertisement-

Magar Bekhabar The Log

Magar Bekhabar The Log Shayari

अन्दर लगी थी आग, मगर बेखबर थे लोग,
जलते हुए मकान के बाहर धुआँ न था।

Andar Lagi The Aag, Magar Bekhabar The Log,
Jalte Huye Makaan Ke Baahar Dhuaan Na Tha.

Teri Mehfil Mein

Koi Betaab, Koi Mast, Koi Chup, Koi Hairan,
Teri Mehfil Mein Ek Tamasha Hai Jidhar Dekho.

कोई बेताब, कोई मस्त, कोई चुप, कोई हैरान,
तेरी महफ़िल में एक तमाशा है जिधर देखो।

-Advertisement-

Hunar Lachakne Ka

Hunar Lachakne Ka Shayari

आँधियाँ हसरत से अपना सर पटकती रहीं,
बच गए वो पेड़ जिनमें हुनर लचकने का था।

Aandhiyan Hasrat Se Apna Sar Patakti Rahin,
Bach Gaye Wo Ped Jin Mein Hunar Lachakne Ka Tha.