दो लाइन शायरी

Zaher Ki Sheeshi Mein Dawa

Zaher Ki Sheeshi Mein Dawa Shayari

इस शहर के लोगों में वफ़ा ढूँढ रहे हो,
तुम जहर की शीशी में दवा ढूँढ रहे हो।

Isa Shahar Ke Logon Mein Wafa Dhoondh Rahe Ho,
Tum Zaher Ki Sheeshi Mein Dawa Dhoondh Rahe Ho.

-Advertisement-

Paanv Mein Zanjeeren

हो न हो ये कोई सच बोलने वाला है क़तील,
जिसके हाथों में कलम, पाँव में जंजीरें हैं।

Ho Na Ho Ye Koi Sach Bolne Wala Hai Qateel,
Jiske Haathon Mein Kalam, Paanv Mein Zanjeeren Hain.

-Advertisement-

Waqt Ka Khilona

Hairat Se Na Dekh Mere Chehre Ki Daraarein,
Main Waqt Ke Haathon Mein Khilone Ki Tarah Tha.

हैरत से न देख मेरे चेहरे की दरारें,
मैं वक़्त के हाथों में खिलौने की तरह था।

Jazbaaton Ko Samajhne Wale

Kam Hi Hote Hain Jazbaaton Ko Samajhne Wale,
Isliye Shayad Shayaron Ki Bastiyan Nahi Hoti.

कम ही होते हैं जज्बातों को समझने वाले,
इसलिए शायद शायरों की बस्तियाँ नहीं होती।

-Advertisement-

Magar Waqt Nahin Diya

कितना चालाक है वो यार-ए-सितमगर देखो
उस ने तोहफ़े में घड़ी दी है मगर वक़्त नहीं।

Kitna Chalaak Hai Wo Yaar-e-Sitamgar Dekho
Uss Ne Tohfe Mein Ghadi Dee Hai Magar Waqt Nahin.

-Advertisement-

Na Khwab Mukammal Huye

Bas Yahi Do Masle Zindagi Bhar Na Hal Huye,
Na Neend Poori Hui Na Khwab Mukammal Huye.

बस यही दो मसले, जिंदगी भर ना हल हुए,
ना नींद पूरी हुई... ना ख्वाब मुकम्मल हुए।

Likha Toh Hai Safar

Likha Toh Hai Safar Shayari

Ajeeb Si Paheliyan Hain Mere Haathon Ki Lakeeron Mein,
Likha Toh Hai Safar Magar Manzil Ka Nishaan Nahi.

अजीब सी पहेलियाँ हैं मेरे हाथों की लकीरों में,
लिखा तो है सफ़र मगर मंज़िल का निशान नहीं।

-Advertisement-

Ye Shero-Shaayari Sab

ये शेरो-शायरी सब उसी की मेहरबानी है,
वो कसक जो सीने से आज भी नहीं जाती।

Ye Shero-Shaayari Sab Usi Ki Meharbaani Hai,
Wo Kasak Jo Seene Se Aaj Bhi Nahin Jaati.