- Home
- Zindagi Shayari
- Page-3
Life Shayari - जिंदगी शायरी
Darwaaze Band Milte Hain
दुनिया में सैकड़ों दर्दमंद मिलते हैं,
पर काम के लोग चंद मिलते हैं,
जब मुसीबत का वक़्त आता है,
सब के दरवाजे बंद मिलते हैं।
Duniya Mein Saikdon DardMand Milate Hain,
Par Kaam Ke Log Chand Milte Hain,
Jab Museebat Ka Waqt Aata Hai,
Sab Ke Darwaaze Band Milte Hain.
Jeet Bhi Meri
Jeet Bhi Meri Aur Haar Bhi Meri,
Talvaar Bhi Meri Aur Dhaar Bhi Meri,
Zindagi Ye Meri Kuchh Yoon Sawaar Hai Mujh Par,
Doobi Bhi Meri Aur Paar Bhi Meri.
जीत भी मेरी और हार भी मेरी,
तलवार भी मेरी और धार भी मेरी,
ज़िन्दगी ये मेरी कुछ यूं सवार है मुझ पर,
डूबी भी मेरी और पार भी मेरी।
Zindagi Ke Imtihaan
Kadam-Kadam Pe Naya Imtihaan Rakhti Hai,
Zindagi Tu Bhi Mera Kitna Dhyaan Rakhti Hai.
कदम-कदम पे नया इम्तिहान रखती है,
ज़िन्दगी तू भी मेरा कितना ध्यान रखती है।
Meethe Lafzon Ka Fareb
समझ जाता हूँ
मीठे लफ़्ज़ों में छुपे फरेब को,
ज़िन्दगी तुझे समझने लगा हूँ
आहिस्ता आहिस्ता।
Samajh Jaata Hoon
Meethe Lafzon Mein Chhupe Fareb Ko,
Zindagi Tujhe Samajane Laga Hoon
Aahista Aahista.
Yehi Zindagi Ka Imtihaan
शायद यही ज़िंदगी का इम्तिहान होता है,
हर एक शख्स किसी का गुलाम होता है,
कोई ढूढ़ता है ज़िंदगी भर मंज़िलों को,
कोई पाकर मंज़िलों को भी बेमुकाम होता है।
Shayad Yehi Zindagi Ka Imtihaan Hota Hai,
Har Ek Shakhs Kisi Ka Gulaam Hota Hai,
Koi Dhoodhata Hai Zindagi Bhar Manzilon Ko,
Koi Paakar Manzilon Ko Bhi BeMukaam Hota Hai.
Rakh Denge Zindagi Tera
जिस दिन किताब-ए-इश्क की तक्मील हो गई,
रख देंगे ज़िन्दगी तेरा... बस्ता उठा के हम।
Jis Din Kitaab-e-Ishk Ki Takmeel Ho Gayi,
Rakh Denge Zindagi Tera... Basta Utha Ke Hum.
Zindagi Jisko Tera Pyaar Mila
ज़िन्दगी जिसको तेरा प्यार मिला वो जाने,
हम तो नाकाम ही रहे चाहने वालों की तरह।
Zindagi Jisko Tera Pyaar Mila Wo Jaane,
Hum To Nakaam Hi Rahe Chaahne Walon Ki Tarah.
Maayne Zindagi Ke Badal Gaye
Maayne Zindagi Ke Badal Gaye Ab To,
Kayee Apne Mere Badal Gaye Ab To,
Karte The Baat Aandhiyon Mein Saath Dene Ki,
Hawa Chali Aur Sab Mukar Gaye Ab To.
मायने ज़िन्दगी के बदल गये अब तो,
कई अपने मेरे बदल गये अब तो,
करते थे बात आँधियों में साथ देने की
हवा चली और सब मुकर गये अब तो।
~कृष्णा यादव