गरीबी शायरी

Read Latest Gareebi Shayari in Hindi.

मेरी मुफलिसी से बचकर

मेरी मुफलिसी से बचकर
कहीं और जाने वाले,
ये सुकून न मिल सकेगा
तुझे रेशमी कफन में।

Meri Mufalisi Se Bachkar
Kahin Aur Jaane Wale,
Ye Sukoon Na Mil Sakega
Tujhe Reshami Kafan Mein.

-Advertisement-

Ek Raat Jab Khaali Haath

जो मौत से न डरता था,
बच्चों से डर गया,
एक रात जब खाली हाथ
मजदूर घर गया।

Jo Maut Se Na Darta Tha,
Bachchon Se Dar Gaya,
Ek Raat Jab Khaali Haath
Majdoor Ghar Gaya.

-Advertisement-

Tehzeeb Ki Misaal

Tehzeeb Ki Misaal Shayari

तहजीब की मिसाल गरीबों के घर पे है,
दुपट्टा फटा हुआ है मगर उनके सर पे है।

Tehzeeb Ki Misaal Gareebon Ke Ghar Pe Hai,
Dupatta Fata Hua Hai Magar Sar Pe Hai.

Garibon Ko Garib Kar Diya

ऐ सियासत... तूने भी इस दौर में कमाल कर दिया,
गरीबों को गरीब अमीरों को माला-माल कर दिया।

Ai Siyasat... Tu Ne Bhi Is Daur Mein Kamaal Kar Diya,
Garibon Ko Garib Amiron Ko Maala-Maal Kar Diya.

-Advertisement-

Gareebi Ban Gayi

Gareebi Ban Gayi Shayari

गरीबी बन गई तश्हीर का सबब आमिर,
जिसे भी देखो हमारी मिसाल देता है।

Gareebi Ban Gayi TashHeer Ka Sabab Aamir,
Jise Bhi Dekho Hamaari Misaal Deta Hai.

-Advertisement-

Gareeb Ka Janaza

जनाजा बहुत भारी था उस गरीब का,
शायद सारे अरमान साथ लिए जा रहा था।

Janaza Bahut Bhaari Tha Us Gareeb Ka,
Shayad Saare Armaan Saath Liye Ja Raha Tha.

Gareeb Ko Marne Ki Jaldi

यहाँ गरीब को मरने की
इसलिए भी जल्दी है साहब,
कहीं जिन्दगी की कशमकश में
कफ़न महँगा ना हो जाए।

Yahaan Gareeb Ko Marne Ki
Iss Liye Bhi Jaldi Hai Saahab,
Kaheen Zindagi Ki Kashmkash Mein
Kafan Mahenga Na Ho Jaye.

-Advertisement-

Rukhi Roti Baant Kar

रुखी रोटी को भी बाँट कर खाते हुये देखा मैंने,
सड़क किनारे वो भिखारी शहंशाह निकला।

Rukhi Roti Ko Bhi Baant Kar Khaate Huye Dekha Main Ne,
Sadak Kinaare Wo Bhikhaari Shahenshaah Nikla.