Search Results for : साहिल

Meri Fitrat Nahin Badali

मैं एक संजीदा साहिल हूँ,
मुझे मौजों से क्या मतलब,
कई तूफ़ान आये पर,
मेरी फितरत नहीं बदली।

Main Ek Sanjeeda Saahil Hoon,
Mujhe Maujon Se Kya Matlab,
Kayi Toofaan Aaye Par,
Meri Fitrat Nahin Badali.

Gehraayi Mein Ro Lena

Ret Bhari Hai Aankhon Mein
Aansoo Se Tum Dho Lena,
Koi Sookha Ped Mile To,
Uss Se Lipat Kar Ro Lena.

Koi Ret Ki Pyas Bujhaao,
Janm Janm Ki Pyaasi Hai,
Saahil Ke Dhalne Se Pehle,
Apne Paanv Bhigo Lena.

Maine Dariya Se Seekhi Hai,
Paani Ki PardaDari,
Upar-Upar Hanste Rehna
Gehraayi Mein Ro Lena.

रेत भरी है आँखों में आँसू से तुम धो लेना,
कोई सूखा पेड़ मिले तो उससे लिपटकर रो लेना।

कोई रेत की प्यास बुझाओ जन्म-जन्म की प्यासी है,
साहिल के ढलने के पहले अपने पाँव भिगो लेना।

मैंने दरिया से सीखी है पानी की पर्दादारी,
ऊपर-ऊपर हँसते रहना गहराई में रो लेना।

Kabhi Haar Nahin Hoti

लहरों को साहिल की दरकार नहीं होती,
हौसला बुलंद हो तो कोई दीवार नहीं होती,
जलते हुए चिराग ने आँधियों से ये कहा,
उजाला देने वालों की कभी हार नहीं होती।

Lehron Ko Saahil Ki Darkaar Nahin Hoti,
Hausla Buland Ho To Koi Deewar Nahin Hoti,
Jalte Huye Chiraag Ne Aandhiyon Se Ye Kaha,
Ujaala Dene Walon Ki Kabhi Haar Nahin Hoti.

Kabhi Haar Nahin Hoti शायरी

ज़िद न करो | Sad Shayari

उलझी हुई शाम को पाने की ज़िद न करो,
जो अपना न हो उसे अपनाने की ज़िद न करो,
इस समंदर में तूफ़ान बहुत आते हैं,
इसके साहिल पर घर बनाने की ज़िद न करो।

Uljhi Hui Shaam Ko Paane Ki Zid Na Karo,
Jo Apna Na Ho Usey Apnaane Ki Zid Na Karo,
Iss Samandar Mein Toofan Bahut Aate Hain,
Iske Saahil Par Ghar Banaane Ki Zid Na Kro.

प्यार से प्यारी कोई मजबूरी नहीं होती,
अपनों की कमी कभी पूरी नहीं होती,
दिल से जुदा होना अलग बात है पर,
नजरों से दूर होना कोई दूरी नहीं होती।

Pyar Se Pyari Koi Majboori Nahi Hoti,
Apno Ki Kami Kabhi Poori Nahi Hoti,
Dil Se Juda Hona Alag Baat Hai Par,
Najron Se Door Hona Koi Doorie Nahi Hoti.

Mehfil Bhi Royegi

Mehfil Bhi Royegi Har Dil Bhi Royega,
Duba Kar Meri Kashti Saahil Bhi Royega,
Itna Pyar Bikher Denge Duniya Mein Hum,
Qatl Kar Ke Humara Qatil Bhi Royega.

महफ़िल भी रोएगी हर दिल भी रोयेगा,
डुबा कर मेरी कश्ती साहिल भी रोयेगा,
इतना प्यार बिखेर देंगे दुनिया में हम,
कत्ल करके हमारा कातिल भी रोयेगा।

Mehfil Bhi Royegi शायरी