- Home
- Two Line Shayari
- Page-5
दो लाइन शायरी
Shayaron Se Talluq Rakho
शायरों से ताल्लुक रखो, तबियत ठीक रहेगी,
ये वो हक़ीम हैं, जो अल्फ़ाज़ों से इलाज करते हैं।
Shayaron Se Talluq Rakho, tabiyat Theek Rahegi,
Ye Wo Haqeem Hain, Jo Alfazon Se ilaaz Karte Hain.
Apni Tasvir Banaoge
Apni Tasvir Banaoge To Ehsaas Hoga,
Kitna Dushwaar Hai Khud Ko Koi Chehra Dena.
अपनी तस्वीर बनाओगे तो अहसास होगा,
कितना दुश्वार है खुद को कोई चेहरा देना।
Chehre Badal Jaate Hain
वक़्त के साथ बदल जाते हैं चेहरे सारे,
आज अपने हैं ये लोग कल पराये होंगे।
Waqt Ke Saath Badal Jaate Hain Chehre Saare,
Aaj Apne Hain Ye Log Kal Paraaye Honge.
Kabhi Aankhein Bhi Parho
सिर्फ लफ़्ज़ों को न सुनो कभी आँखें भी पढ़ो,
कुछ सवाल बड़े खुद्दार हुआ करते हैं।
Sirf Lafzon Ko Na Suno Kabhi Aankhein Bhi Parho,
Kuchh Sawaal Bade Khuddaar Hua Karte Hain.
Wo Na Badnaam Ho Jaaye
मै खुद भी एहतियातन,
उस गली से कम गुजरता हूँ,
कोई मासूम क्यों कर,
मेरे लिए बदनाम हो जाये।
Main Khud Bhi Ehetiyaatan,
Us Gali Se Kam Gujarta Hoon,
Koi Maasoom Kyon Kar,
Mere Liye Badnaam Ho Jaaye.
Tumhara DabDaba Logon
तुम्हारा दबदबा लोगों यहाँ सिर्फ ज़िंदगी तक है,
किसी की कब्र के अंदर ज़मींदारी नहीं चलती।
Tumhara DabDaba Logon Yahaan Sirf Zindagi Tak Hai,
Kisi Ki Kabr Ke Andar Zamindaari Nahin Chalti.
Sheeshon Toota Na Karein
अहमद फ़राज़लोग तो मजबूर हैं मरेंगे पत्थर,
क्यूँ न हम शीशों से कह दें टूटा न करें।
Log To Majboor Hain Marenge Patthar,
Kyoon Na Hum Sheeshon Se Keh Dein Toota Na Karein.
Iss Daur Mein
Kis-Kis Se Wabasta Karein Hum Apni Umeedein,
Iss Daur Mein Har Shakhs Wafa Bhool Gaya Hai.
किस किस से वाबस्ता करें हम अपनी उमीदें,
इस दौर में हर शख्स वफ़ा भूल गया है।