- Home
- Dard Shayari
- Page-12
दर्द शायरी
Dard Ki Fariyad
दर्द की दीवार पर अपनी
फरियाद लिखा करते है,
ऐ खुदा उन्हें खुश रखना
जिन्हें हम प्यार किया करते हैं।
Dard Ki Deewar Par Apni
Fariyad Likha Karte Hain,
Ai Khuda Unhein Khush Rakhna
Jinhein Hum Pyaar Kiya Karte Hain.
Barbaadi Ki Taareekh
आ गई फिर वही एक और
अशिक की बरबादी की तारीख।
यही दिन था वह जब दिल टूटा
और मोहब्बत क़त्ल सरेआम हुई थी।
Aa Gayi Phir Wohi Ek Aur
Ashiq Ki Barbaadi Ki Taareekh.
Yehi Din Tha Woh Jab Dil Toota
Aur Mohabbat Qatl Sareaam Hui Thi.
Pyaar Ka Dard Kam Hua
धीरे धीरे से अब तेरे प्यार का दर्द कम हुआ,
ना तेरे आने के खुशी ना तेरे जाने का गम हुआ,
जब लोग मुझसे पूछते हैं हमारे प्यार की दास्तान,
कह देता हूँ एक फसाना था जो अब खत्म हुआ।
Dheere Dheere Se Ab Tere Pyaar Ka Dard Kam Hua,
Na Tere Aane Ke Khushi Na Tere Jaane Ka Gham Hua,
Jab Log Mujhse Poochhte Hain Humaare Pyaar Ki Daastaan,
Keh Deta Hoon Ek Fasaana Tha Jo Ab Khatm Hua.
Kitna Aur Dard Dega
कितना और दर्द देगा बस इतना बता दे,
ऐसा कर ऐ खुदा मेरी हस्ती मिटा दे,
यूं घुट घुट के जीने से तो मौत बेहतर है,
मैं कभी न जागूं मुझे ऐसी नींद सुला दे।
Kitna Aur Dard Dega Bas Itna Bata De,
Aisa Kar Ai Khuda Meri Hasti Mita De,
Yoon Ghut Ghut Ke Jeene Se To Maut Behtar Hai,
Main Kabhi Na Jaagoon Mujhe Aisi Neend Sula De.
Sitam Dhaaya Mujh Par
दोस्त बन बन के मिले मुझको मिटाने वाले,
मैंने देखे हैं कई कई रंग बदलने वाले,
तुमने चुप रहकर सितम और भी ढाया मुझ पर,
तुमसे अच्छे हैं मेरे हाल पे हँसने वाले।
Dost Ban Ban Ke Mile Mujhko Mitaane Wale,
Main Ne Dekhe Hain Kai-Kai Rang Badalne Wale,
Tumne Chup Rehkar Sitam Aur Bhi Dhaaya Mujh Par,
Tumse Achchhe Hain Mere Haal Pe Hansne Wale.
Har Zakhm Ka Hisaab
चलो उनको मोहब्बत का खिताब दिया जाये,
कि उनके दिए हर ज़ख्म का हिसाब किया जाये।
Chalo Unko Mohabbat Ka Khitaab Diya Jaaye,
Ki Unke Diye Har Zakhm Ka Hisaab Kiya Jaaye.
Na Karna Kisi Se Mohabbat
दिल के सारे अरमान ले जाते हैं,
हमसे हमारी पहचान ले जाते हैं,
ना करना किसी से मोहब्बत दोस्त,
जान कहने वाले जान ले जाते हैं।
Dil Ke Saare Armaan Le Jaate Hain,
Humse Humaari Pehchaan Le Jaate Hain,
Na Karna Kisi Se Mohabbat Dost,
Jaan Kehne Wale Jaan Le Jaate Hain.
Dard Ki Thaili Se
बहुत ईमानदार हो गया है ये बेईमान शहर,
दर्द की थैली से किसी ने सिक्का न उठाया।
Bahut Imaandaar Ho Gaya Hai Ye BeImaan Shahar,
Dard Ki Thaili Se Kisi Ne Sikka Na Uthaaya.