- Home
- Dard Shayari
- Page-14
दर्द शायरी
Hum Jo Roye To
एक फ़साना सुन गए एक कह गए,
हम जो रोये तो मुस्कुराकर रह गए।
Ek Fasaana Sun Gaye Ek Keh Gaye,
Hum Jo Roye To Muskuraakar Reh Gaye.
Phool Murjha Jaayenge
बहारों के फूल एक दिन मुरझा जायेंगे,
भूले से कहीं याद तुम्हें हम आ जायेंगे,
अहसास होगा तुमको हमारी मोहब्बत का,
जब कहीं हम तुमसे बहुत दूर चले जायेंगे।
Bahaaron Ke Phool Ek Din Murjha Jaayenge,
Bhoole Se Kaheen Yaad Tumhein Hum Aa Jaayenge,
Ehsaas Hoga Tumko Humaari Mohabbat Ka,
Jab Kaheen Hum Tumse Bahut Door Chale Jaayenge.
Jigar Mein Dard Bhare Chhaale
आशियाँ बस गया जिनका, उन्हें आबाद रहने दो,
पड़े जो दर्द भरे छाले, जिगर में यूँ ही रहने दो,
कुरेदो ना मेरे दिल को, ये अर्जी है जहां वालों,
छिपा है राज अब तक जो, राज को राज रहने दो।
Aashiyaan Bas Gaya Jinka, Unhein Aabaad Rehne Do,
Pade Jo Dard Bhare Chhaale, Jigar Mein Yoon Hi Rehne Do,
Kuredo Na Mere Dil Ko, Ye Arzee Hai Jahaan Walon,
Chhipa Hai Raaz Ab Tak Jo, Raaz Ko Raaz Rehne Do.
Raat Guzaari Tadap Kar
कहीं किसी रोज़ यूँ भी होता,
हमारी हालत तुम्हारी होती,
जो रात हमने गुज़ारी तड़प कर,
वो रात तुमने गुज़ारी होती।
Kahin Kisi Roz Yoon Bhi Hota,
Humari Haalat Tumhaari Hoti,
Jo Raat Humne Guzaari Tadap Kar,
Wo Raat Tumane Guzaari Hoti.
Bheegi Palkein Aur Tanhai
बिखरे अरमान, भीगी पलकें और ये तन्हाई,
कहूँ कैसे कि मिला मोहब्बत में कुछ भी नहीं।
Bikhare Armaan, Bheegi Palkein Aur Ye Tanhai,
Kahoon Kaise Ki Mila Mohabbat Mein Kuchh Bhi Nahin.
Dard Ki Daulat-e-Naayaab
खुद को औरों की तवज्जो का तमाशा न करो,
आइना देख लो अहबाब से पूछा न करो,
शेर अच्छे भी कहो, सच भी कहो, कम भी कहो,
दर्द की दौलत-ए-नायाब को रुसवा न करो।
Khud Ko Auron Ki Tavajjo Ka Tamaasha Na Karo,
Aaina Dekh Lo Ahbaab Se Poochha Na Karo,
Sher Achchhe Bhi Kaho, Sach Bhi Kaho, Kam Bhi Kaho,
Dard Ki Daulat-e-Naayaab Ko Ruswaa Na Karo.
Dil Ki Chubhan
अदा जाफरीबदले तो नहीं हैं वो... दिल-ओ-जान के करीने,
आँखों की जलन, दिल की चुभन अब भी वही है।
Badle To Nahin Hain Wo... Dil-o-Jaan Ke Kareene,
Aankhon Ki Jalan, Dil Ki Chubhan Ab Bhi Wahi Hai.
Raaste Wahi Honge
रास्ते वही होंगे और नज़ारे वही होंगे,
पर हमसफ़र अब हम तुम्हारे नहीं होंगे।
Raaste Wahi Honge Aur Nazaare Wahi Honge,
Par Humsafar Ab Hum Tumhaare Nahin Honge.