- Home
- Dard Shayari
- Page-4
दर्द शायरी
Shayari Dard Maafiq Hai
Mohabbat Ki Nafasat Ka Bahana Bhool Jaaoge,
Humare Zakhm Dekhoge Nibhana Bhool Jaoge,
Humein To Dard Maafiq Hai Mausam-e-Hijr Mein HumDam,
Isey Tum Jee Ke Dekhoge Zamana Bhool Jaaoge.
मोहब्बत की नफ़ासत का बहाना भूल जाओगे,
हमारे ज़ख्म देखोगे निभाना भूल जाओगे,
हमें तो दर्द माफिक है मौसम-ए-हिज्र में हमदम,
इसे तुम जी के देखोगे ज़माना भूल जाओगे।
Lafzon Mein Dard Shayari
Ye Shayari Kuchh Aur Nahi
Be-Intehaan Ishq Hai,
Tadap Unki UthhTi Hai,
Aur Dard Lafzon Mein Utar Aata Hai
ये शायरी कुछ और नहीं
बेइंतहा इश्क है,
तड़प उनकी उठती है
और दर्द लफ्जों में उतर आता है।
Sab Kishtiyaan Meri
उलटी पड़ी हैं रेत पर सब किश्तियाँ मेरी...
कोई ले गया है दिल से समंदर निकाल कर।
~अनिल कुमार साहू
Ulti Padi Hai Ret Par Sab Kishtiyaan Meri...
Koi Le Gaya Hai Dil Se Samandar Nikaal Kar.
Haath Zakhmi Hua To
हाथ ज़ख़्मी हुआ तो कुछ मेरी ही खता थी,
लकीरों को बदलना चाहा था किसी को पाने के लिए।
Haath Zakhmi Hua To Kuchh Meri Hi Khata Thi,
Lakeeron Ko Badalna Chaaha Tha Kisi Ko Paane Ke Liye.
Dard Ki Daastaan Baaki Hai
Dard Ki Daastaan Abhi Baaki Hai,
Mohabbat Ka Imtehaan Abhi Baki Hai,
Dil Kare To Zakhm Dene Aa Jana,
Dil Hi Toota Hai Jaan Abhi Baki Hai.
दर्द की दास्तान अभी बाकी है,
मोहब्बत का इम्तेहान अभी बाकी है,
दिल करे तो ज़ख्म देने आ जाना,
दिल ही टूटा है जान अभी बाकी है।
Koi Humara Nahi Hota
Dard Ho To Koi Mausam Pyara Nahi Hota,
Dil Mein Pyas Ho To Pani Se Gujara Nahi Hota,
Kaash Koi Samajh Pata Humari Bebasi Ko,
Hum Sabke Ho Jate Hain Koi Humara Nahi Hota.
दर्द हो तो कोई मौसम प्यारा नहीं होता,
दिल में प्यास हो तो पानी से गुजारा नहीं होता,
काश कोई समझ पाता हमारी बेबसी को,
हम सबके हो जाते हैं कोई हमारा नहीं होता।
Mar-Mar Ke Jiya Karte Hain
ख़ुदकुशी जुर्म भी है सब्र की तौहीन भी है,
इस लिए इश्क में मर-मर के जिया करते हैं।
Khudkushi Jurm Bhi Hai Sabr Ki Tauheen Bhi Hai,
Iss Liye Ishq Mein Mar-Mar Ke Jiya Karte Hain.
Dard Ke Kaanton Pe
Waqt Hi Dard Ke Kaanton Pe Sulaye Dil Ko,
Waqt Hi Dard Ka Ehsaas Mita Deta Hai,
Rone Se Tasalli Kabhi Ho Jaati Thi,
Ab Tabassum Mere Honthon Ko Jala Deta Hai.
वक़्त ही दर्द के काँटों पे सुलाए दिल को,
वक़्त ही दर्द का एहसास मिटा देता है,
रोने से तसल्ली कभी हो जाती थी,
अब तबस्सुम मेरे होंठों को जला देता है।