- Home
- Dard Shayari
- Page-6
दर्द शायरी
Dard Jaage Kayi Puraane Se
Chand Kaliyon Ke Muskurane Se,
Dard Jaage Kayi Puraane Se,
Do Kadam Main Chal Nahi Sakta,
Tu Hi Aa Ja Kisi Bahaane Se.
चंद कलियों के मुस्कुराने से,
दर्द जागे कई पुराने से,
दो कदम मैं चल नहीं सकता,
तू ही आ जा किसी बहाने से।
Kuchh Dard
ख़ामोशियाँ कभी बेवजह नहीं होती,
कुछ दर्द आवाज़ छीन लिया करते हैं।
Khamoshiyaan Kabhi Bewajah Nahin Hoti,
Kuchh Dard Aawaaz Chheen Liya Karte Hain.
Wahin Par Dard Milta Hai
Jaane Kya Likha Hai
Mere Haathon Ki Lakeeron Mein,
Main Jahan Bhi Jata Hoon
Wahin Par Dard Milta Hai.
जाने क्या लिखा है
मेरी हाथों की लकीरों में,
मैं जहाँ भी जाता हूँ
वहीं पर दर्द मिलता है।
Dard Chhupana Kitna Mushkil
Dard Dil Ka Chhupana Kitna Mushkil Hai,
Gham Mein Muskurana Kitna Mushkil Hai,
Jab Dur Tak Chalo Kisi Ke Saath,
Fir Tanha Laut Ke Aana Kitna Mushkil Hai.
दिल का दर्द छुपाना कितना मुश्किल है,
ग़म में मुस्कुराना कितना मुश्किल है,
दूर तक जब चलो किसी के साथ,
फिर तन्हा लौट के आना कितना मुश्किल है।
Dard Bayaan Kaise Karein
Dard Hi Dard Hai Dil Mein Bayaan Kaise Karein,
Zindagi Ghamon Ki Gulaam Riha Kaise Karein,
Yoon Toh Humein Humare Dil Ne Dhokhe Diye Bahut,
Par Apne Hi Dil Se Hum Dagaa Kaise Karein.
दर्द ही दर्द है दिल में बयान कैसे करें,
ज़िंदगी ग़मों की गुलाम रिहा कैसे करें,
यूँ तो हमें हमारे दिल ने धोखे दिए बहुत,
पर अपने दिल से हम दगा कैसे करें।
(प्रताप सिंह)
Zakhm Ki Gaharai Dekhkar
तुम्हें क्या बताये इश्क़ में मिलता है दर्द क्या...
मरहम भी पिघल जाते हैं ज़ख्म की गहराई देखकर।
Tumhein Kya Bataaye Ishq Mein Milta Hai Dard Kya...
Marham Bhi Pighal Jaate Hain Zakhm Ki Gaharai Dekhkar.
Bahut Rota Hai Dil
मत पूछ ज़िन्दगी कैसे गुजरती है तन्हाई में,
आँखों से बरसते हैं आँसू उनकी जुदाई में,
न जाने किस जुर्म की सजा मिली है मुझे,
बहुत रोता है दिल मेरा उनकी बेवफाई में।
Mat Poochh Zindagi Kaise Gujarti Hai Tanhai Mein,
Aankhon Se Baraste Hain Aansoo Unki Judai Mein,
Na Jaane Kis Jurm Ki Saja Mili Hai Mujhe,
Bahut Rota Hai Dil Mera Unki BeWafai Mein.
Mujhse Bichhad Ke Tu
मुझसे बिछड़ के तू भी रोयेगा उम्र भर,
ये सोच ले कि मैं भी तेरी ख्वाहिशों में हूं।
Mujhse Bichhad Ke Tu Bhi Royega Umr Bhar,
Ye Soch Le Ki Main Bhi Teri Khwaahishon Mein Hoon.