हिंदी शायरी

Mere Dil Ko Jalaa Ke

जो मनाई है दिवाली, मेरे दिल को जलाके,
अब होली भी मना लेना, बची ख़ाक उड़ाके।

Jo Manaai Hai Deewali, Mere Dil Ko Jalaa Ke,
Ab Holi Bhi Mana Lena, Bachi Khaak Udaake.

-Advertisement-

Mohabbat Ki Daastaan

जब कभी सिमटोगे तुम...
मेरी इन बाहों में आकर,
मोहब्बत की दास्तां मैं नहीं
मेरी धड़कनें सुनाएंगी।

Jab Kabhi Simtoge Tum...
Meri Inn Baahon Mein Aakar,
Mohabbat Ki Daastaan Main Nahin
Meri Dhadkane Sunaengi.

-Advertisement-

Yaadon Ke Maare Ho

सुना है कि तुम रातों को देर तक जागते हो,
यादों के मारे हो या मोहब्बत मे हारे हो।

Suna Hai Ki Tum Raaton Ko Der Tak Jaagate Ho,
Yaadon Ke Maare Ho Ya Mohabbat Mein Haare Ho.

Kuchh Hai Ghaayal

Kuchh Hai Ghaayal Shayari

ये क्या है, जो आँखों से रिसता है,
कुछ है भीतर, जो यूँ ही दुखता है,
कह सकता हूं, पर कहता भी नहीं,
कुछ है घायल, जो यहाँ सिसकता है।

Ye Kya Hai, Jo Aankhon Se Risata Hai,
Kuchh Hai Bheetar, Jo Yoon Hi Dukhta Hai,
Keh Sakta Hoon, Par Kehta Bhi Nahin,
Kuchh Hai Ghaayal, Jo Yahaan Sisakta Hai.

-Advertisement-

Zamana Kharab Hai

Sab Kuchh Hume Khabar Hai, Naseehat Naam Dijiye,
Kya Honge Hum Kharab, Zamana Kharab Hai.

सब कुछ हमें खबर है, नसीहत नाम दीजिए,
क्या होंगे हम खराब, ज़माना खराब है।

-Advertisement-

Lagaa Ke Ishq Ki Baazi

लगाके इश्क़ की बाजी सुना है दिल दे बैठे हो,
मुहब्बत मार डालेगी अभी तुम फूल जैसे हो।

Lagaa Ke Ishq Ki Baazi Suna Hai Dil De Baithe Ho,
Mohabbat Maar Daalegi Abhi Tum Phool Jaise Ho.

Tujhe Bhulane Ko

Tujhe Bhulane Ko Shayari

Maine Kuchh Is Tarah Se Khud Ko Sambhala Hai,
Tujhe Bhulane Ko Duniya Ka Bharam Pala Hai,
Ab Kisi Se Muhabbat Main Kar Nahi Pata,
Isee Saanche Me Ek Bewafa Ne Mujhe Dhhala Hai.

मैंने कुछ इस तरह से खुद को संभाला है,
तुझे भुलाने को दुनिया का भरम पाला है,
अब किसी से मुहब्बत मैं कर नहीं पाता,
इसी सांचे में एक बेवफा ने मुझे ढाला है।

-Advertisement-

Dard Ki Fariyad

दर्द की दीवार पर अपनी
फरियाद लिखा करते है,
ऐ खुदा उन्हें खुश रखना
जिन्हें हम प्यार किया करते हैं।

Dard Ki Deewar Par Apni
Fariyad Likha Karte Hain,
Ai Khuda Unhein Khush Rakhna
Jinhein Hum Pyaar Kiya Karte Hain.