हिंदी शायरी

Aawaaz Dete Hain Log

बैठता वहीं हूँ,
जहाँ अपनेपन का अहसास है मुझको,
यूँ तो ज़िंदगी में
कितने ही लोग आवाज देते हैं मुझको।

BaithTa Wahin Hoon,
Jahaan Apnepan Ka Ehsaas Hai Mujhko,
Yoon To Zindagi Mein
Kitne Hi Log Aawaaz Dete Hain Mujhko.

-Advertisement-

Dosto Se Door Na Raha Jaye

Kaash Wo Pal Saath Bitaye Na Hote,
To Aankhon Mein Ye Aansoo Aaye Na Hote,
Jinse Raha Na Jaye Ek Pal Bhi Door,
Kaash Aise Pyare Dost Banaye Na Hote.

काश वो पल साथ बिताए ना होते,
तो आँखों में ये आँसू आए ना होते,
जिनसे रहा ना जाए एक पल भी दूर,
काश ऐसे प्यारे दोस्त बनाए ना होते।

-Advertisement-

Usee Se Poochh Lo

उसी से पूछ लो उसके इश्क की कीमत,
हम तो बस भरोसे पे बिक गए।

Usee Se Poochh Lo Uske Ishq Ki Keemat,
Hum To Bas Bharose Pe Bik Gaye.

Barbaadi Ki Taareekh

आ गई फिर वही एक और
अशिक की बरबादी की तारीख।
यही दिन था वह जब दिल टूटा
और मोहब्बत क़त्ल सरेआम हुई थी।

Aa Gayi Phir Wohi Ek Aur
Ashiq Ki Barbaadi Ki Taareekh.
Yehi Din Tha Woh Jab Dil Toota
Aur Mohabbat Qatl Sareaam Hui Thi.

-Advertisement-

Soch Le Jaao Shikhar Par

सोच को अपनी ले जाओ उस शिखर पर,
ताकि उसके आगे सितारे भी झुक जाएं,
ना बनाओ अपने सफर को किसी किश्ती का मोहताज,
चलो इस शान से कि तूफान भी रुक जाए।

Soch Ko Apni Le Jaao Uss Shikhar Par,
Taaki Uske Aage Sitaare Bhi Jhuk Jaayein,
Na Banaao Apne Safar Ko Kisi Kishti Ka Mohtaaj,
Chalo Iss Shaan Se Ki Toofaan Bhi Ruk Jaaye.

-Advertisement-

Sonch Se Hi Sab Kuchh

लाख बदल लो आइना
चेहरा नहीं बदलता,
हथेलियों पर खींचने से लकीरें,
मुक़दर नहीं बदलता,
सोच से ही है सब कुछ,
बिन सोचे कुछ नहीं बदलता।

Laakh Badal Lo Aaina
Chehara Nahin Badalta,
Hatheliyon Par Kheenchne Se Lakeerein,
Muqadar Nahin Badalta,
Soch Se Hi Hai Sab Kuchh,
Bin Soche Kuchh Nahin Badalta.

Ishq Se Pehchaan Se Pehle

इक बात कहूँ इश्क़ बुरा तो नहीं मानोगे,
बड़ी मौज के थे दिन, तुमसे पहचान से पहले।

Ik Baat Kahoon Ishq Bura To Nahin Maanoge,
Badi Mauj Ke The Din, Tumse Pehchaan Se Pehle.

-Advertisement-

बंद कर लीं आँखें

यूँ हुआ फिर बंद कर लीं
उसने आँखें एक दिन,
वो समझ लेता था
दिल का हाल चेहरा देख कर।