- Home
- Page-15
हिंदी शायरी
वो अजब शख्स था
वो अजब शख्स था ऐ ज़िन्दगी
जिसे मैं न समझ सका,
मुझे चाहता भी गज़ब का था
मुझे छोड़ कर भी चला गया।
Wo Ajab Shakhs Tha Ai Zindagi,
Jise Main Na Samajh Saka,
Mujhe Chahta Bhi Gazab Ka Tha,
Mujhe Chhod Kar Bhi Chala Gaya.
Kabhi Chubh Jaaun To
कभी चुभ जाऊँ तो माफ करना...
लफ्ज़ मेरे गुलाब के पौधे जैसे हैं..!
Kabhi Chubh Jaaun To Maaf Karna...
Lafz Mere Ghulab Ke Paudhhe Jaise Hain..!
Armaan Zaroori Hai
जिंदगी के लिए जैसे जान जरूरी है,
जीने के लिए अरमान जरूरी है,
हम रहें या न रहें पर,
तेरे चेहरे पर मुस्कान जरूरी है।
Zindagi Ke Liye Jaise Jaan Zaroori Hai,
Jeene Ke Liye Armaan Zaroori Hai,
Hum Rahein Ya Na Rahein Par,
Tere Chehre Par Muskaan Zaroori Hai.
Tera Haath Chhootna
इतना गुरूर जो था, मुझे अपने प्यार पर,
वो टूटना भी जरूरी था,
कुछ ज्यादा ही प्यार से, जो थामा तेरा हाथ,
वो छूटना भी जरूरी था।
Itna Guroor Jo Tha Mujhe Apne Pyar Par,
Wo Tootna Bhi Zaroori Tha,
Kuchh Jyada Hi Pyaar Se Jo Thama Tera Haathh,
Wo Chhootna Bhi Zaroori Tha.
मैं खो गयी हूँ तुझमें
उलझा रही है मुझको
ये कश्मकश आजकल,
तू मुझमें आ मिला है...
या मैं खो गयी हूँ तुझमें।
Uljha Rahi Hai Mujhko
Ye Kashmkash Aajkal,
Tu Mujh Mein Aa Mila Hai
Ya Main Kho Gayi Hoon Tujh Mein.
Meri Duaa Qabool Ho Jaye
कुछ इस तरह मेरी दुआ कबूल हो जाये,
ऐ खुदा मेरी इबादतों का हक अदा हो जाये,
तुम खड़े हो जिस मजिल की तलाश में,
वो मंजिल तुम्हारे सामने आकर खडी हो जाये।
Kuchh Iss Tarah Meri Dua Qabool Ho Jaaye,
Ai Khuda Meri Ibaadaton Ka Haq Ada Ho Jaaye,
Tum Khade Ho Jis Manzil Ki Talaash Mein,
Wo Manzil Tumhare Samane Aakar Khadi Ho Jaaye.
Honthho Pe Mera Naam
Unke Honthho Pe Mera Naam Jab Aaya Hoga,
Khudko Ruswayi Se Phir Kaise Bachaya Hoga,
Sunke Fasana Auro Se Meri Barbadi Ka,
Kya Unko Apna Sitam Na Yaad Aaya Hoga?
उनके होंठो पे मेरा नाम जब आया होगा,
खुद को रुसवाई से फिर कैसे बचाया होगा,
सुनके फ़साना औरों से मेरी बर्बादी का,
क्या उनको अपना सितम न याद आया होगा?
Ahankaar Kiske Liye
जीत किसके लिए, हार किसके लिए,
ज़िंदगी भर ये तकरार किसके लिए,
जो भी आया है वो जायेगा एक दिन,
फिर ये इतना अहंकार किसके लिए।
Jeet Kiske Liye Haar Kiske Liye,
Zindagi Bhar Ye Takraar Kiske Liye,
Jo Bhi Aaya Hai Wo Jayega Ek Din,
Fir Ye Itna Ahankaar Kiske Liye.