हिंदी शायरी

So Ja Ai Dil

सो जा ऐ दिल आज धुंध बहुत है...
तेरे शहर में
अपने दिखते नहीं और जो दिखते है
वो अपने नहीं।

So Ja Ai Dil Aaj Dhundh Bahut Hai...
Tere Shahar Mein
Apne Dikhte Nahin Aur Jo Dikhte Hai
Wo Apne Nahin.

-Advertisement-

Ab Kaise Kahun

Ab Kaise Kahun Shayari

Khamoshiyon Se Mil Rahe Khamoshiyon Ke Jawaab,
Ab Kaise Kahun Unse Meri Baat Nahi Hoti.

खामोशियों से मिल रहे, खामोशियों के जवाब,
अब कैसे कहूँ कि उनसे मेरी बात नहीं होती।

-Advertisement-

Mere Labon Ko Naye Sawaal

Mere Labon Ko Naye Sawaal Shayari

खुदा करे वो अचानक सामने आकर,
मेरे लबों को कुछ नए सवाल दे जायें।

Khuda Kare Vo Achaanak Saamane Aakar,
Mere Labon Ko Kuchh Naye Sawaal De Jaayein.

Tere Chale Jaane Ke Baad

एक तेरे चले जाने के बाद से हमें,
किसी का भी यहाँ ऐतबार न रहा,
और किसी से तो क्या करेंगे मोहब्बत,
जब अपनी ही जिंदगी से प्यार न रहा।

Ek Tere Chale Jaane Ke Baad Se Humein,
Kisi Ka Bhi Yahaan Aitbaar Na Raha,
Aur Kisi Se To Kya Karenge Mohabbat,
Jab Apni Hi Zindagi Se Pyaar Na Raha.

-Advertisement-

Aapki Aankhon Mein Panaah

Kab Aapki Aankhon Mein Humein Milegi Panaah,
Chaahe Ise Samjho Dillagi Ya Samjho Gunaah,
Ab Bhale Hi Humein Koi Deewana Karaar De,
Hum To Ho Gaye Hain Aapke Pyar Mein Fanaah.

कब आपकी आँखों में हमें मिलेगी पनाह,
चाहे इसे समझो दिल्लगी या समझो गुनाह,
अब भले ही हमें कोई दीवाना करार दे,
हम तो हो गए हैं आपके प्यार में फ़ना।

-Advertisement-

Teri Aankhon Ne Kaha

Teri Aankhon Ne Kaha Shayari

लोग कहते हैं कि तू अब भी ख़फ़ा है मुझ से,
तेरी आँखों ने तो कुछ और कहा है मुझ से।

Log Kehte Hain Ki Tu Ab Bhi Khafa Hai Mujh Se,
Teri Aankhon Ne To Kuchh Aur Kaha Hai Mujh Se.

Magar Mohabbat Bhi

Magar Mohabbat Bhi Shayari

Gila Bhi Tujhse Bahut Hai, Magar Mohabbat Bhi,
Wo Baat Apni Jagah Hai Ye Baat Apni Jagah.

गिला भी तुझ से बहुत है, मगर मोहब्बत भी,
वो बात अपनी जगह है, ये बात अपनी जगह।

-Advertisement-

Wo Mera HumSafar

Wo Mera HumSafar Shayari

वो मेरा हमसफर भी था वो मेरा राहगुजर भी था,
मंजिलें ही एक न थीं, दरमियाँ ये फासला भी था।

Wo Mera HumSafar Bhi Tha Wo Mera Rahgujar Bhi Tha,
Manzilein Hi Ek Na Theen, Darmiyaan Ye Fasla Bhi Tha.