हिंदी शायरी

Ye Mohabbat Badi Bedard

Ye Mohabbat Badi Bedard Shayari

कागज की कश्ती से पार जाने की ना सोच,
उड़ते हुए तूफानों को हाथ लगाने की ना सोच,
ये मोहब्बत बड़ी बेदर्द है इससे खेल ना कर,
मुनासिब हो जहाँ तक दिल बचाने की सोच।

Kaagaj Ki Kashti Se Paar Jaane Ki Na Soch,
Udte Hue Toofaanon Ko Haath Lagaane Ki Na Soch,
Ye Mohabbat Badi Bedard Hai Iss Se Khel Na Kar,
Munaasib Ho Jahaan Tak Dil Bachaane Ki Soch.

-Advertisement-

Toofaan Dil-e-Bekaraar Mein

Toofaan Dil-e-Bekaraar Mein Shayari

आँसू नहीं हैं आँख में लेकिन तेरे बगैर,
तूफान छुपे हुए हैं दिले-बेकरार में।

Aansoo Nahin Hain Aankh Mein Lekin Tere Bagair,
Toofaan Chhupe Huye Hain Dil-e-Bekaraar Mein.

-Advertisement-

Tark-e-Mohabbat Ka Sabab

Tark-e-Mohabbat Ka Sabab Shayari

उसके तर्क-ए-मोहब्बत का सबब होगा कोई,
जी नहीं मानता कि वो बेवफ़ा पहले से था।

Uske Tark-e-Mohabbat Ka Sabab Hoga Koi,
Jee Nahin Maanta Ki Wo Bewafa Pehle Se Tha.

Mere Dard Ka ilaaj

जिंदगी ने मेरे दर्द का
क्या खूब इलाज सुझाया,
वक्त को दवा बताया,
ख्वाहिशों से परहेज बताया।

Zindagi Ne Mere Dard Ka
Kya Khoob ilaaj Sujhaaya,
Waqt Ko Davaa Bataaya,
Khwaahishon Se Parhej Bataaya.

-Advertisement-

Teri Yaadon Ka Baazaar

Teri Yaadon Ka Baazaar Shayari

खुल जाता है तेरी यादों का बाजार सरेआम,
फिर मेरी रात इसी रौनक में गुजर जाती है।

Khul Jaata Hai Teri Yaadon Ka Baazaar SareAam,
Phir Meri Raat Isee Raunak Mein Gujar Jaati Hai.

-Advertisement-

Aankhein Chhalak Padeen

Aankhein Chhalak Padeen Shayari

आया ही था खयाल कि आँखें छलक पड़ीं,
आँसू किसी की याद के कितने करीब हैं।

Aaya Hi Tha Khayaal Ki Aankhein Chhalak Padeen,
Aansoo Kisi Ki Yaad Ke Kitne Kareeb Hain.

Meri Baatein Rulayengi

Meri Baatein Rulayengi Shayari

Meri Yaadein, Mera Chehra, Meri Baatein Rulayengi,
Hijr Ke Daur Mein, Gujari Mulakatein Rulayengi,
Din Toh Chalo Tum Kaat Bhi, Loge Fasaanon Mein,
Jahan Tanha Rahoge Tum, Tumhein Raatein Rulayengi.

मेरी यादें, मेरा चेहरा, मेरी बातें रुलायेंगी,
हिज़्र के दौर में, गुज़री मुलाकातें रुलायेंगी,
दिन तो चलो तुम काट भी लोगे फसानों में,
जहाँ तन्हा रहोगे तुम, तुम्हें रातें रुलायेंगी।

-Advertisement-

Dil Lagaane Ki Saza

सजा कैसी मिली मुझको तुमसे दिल लगाने की,
रोना ही पड़ा है जब कोशिश की मुस्कुराने की,
कौन बनेगा यहाँ मेरी दर्द-भरी रातों का हमराज,
दर्द ही मिला जो तुमने कोशिश की आजमाने की।

Saja Kaisi Mili Mujhko Tumse Dil Lagaane Ki,
Rona Hi Pada Hai Jab Koshish Ki Muskuraane Ki,
Kaun Banega Yahaan Meri Dard-Bhari Raaton Ka Humraaj,
Dard Hi Mila Jo Tumne Koshish Ki Aajmaane Ki.