- Home
- Page-154
हिंदी शायरी
Tu Mere Naam Se Badnaam
मुझे तू अपना बना या न बना तेरी खुशी,
तू ज़माने में मेरे नाम से बदनाम तो है।
Mujhe Tu Apna Bana Ya Na Bana Teri Khushi,
Tu Zamane Mein Mere Naam Se Badnaam To Hai.
Baarish Mein Rakh Doon Zindagi

बारिश में रख दूँ जिंदगी को
ताकि धुल जाए पन्नो की स्याही,
ज़िन्दगी फिर से लिखने का
मन करता है कभी-कभी।
Baarish Mein Rakh Doon Zindagi Ko
Taaki Dhul Jaaye Panno Ki Syaahi,
Zindagi Phir Se Likhne Ka
Man Karta Hai Kabhi-Kabhi.
Yaad Karne Ki Beemari
खामोशी और तन्हाई हमें प्यारी हो गई है,
आजकल रातों से यारी हो गई है,
सारी सारी रात तुम्हें याद करते हैं,
शायद तुम्हें याद करने की बीमारी हो गई है।
Khamoshi Aur Tanhai Humein Pyaari Ho Gayi Hai,
Aaj Kal Raaton Se Yaari Ho Gayi Hai,
Saari Saari Raat Tumhein Yaad Karte Hain,
Shayad Tumhein Yaad Karne Ki Beemari Ho Gayi Hai.
Jaane Kyon Bewafa
हर रात उसको इस तरह से भुलाता हूँ,
दर्द को सीने में दबा के सो जाता हूँ।
सर्द हवाएँ जब भी चलती हैं रात में,
हाथ सेंकने को अपना ही घर जलाता हूँ।
कसम दी थी उसने कभी न रोने की मुझे,
यही वजह है कि आज भी मुस्कुराता हूँ।
हर काम किया मैंने उसकी खुशी के लिए,
तब भी जाने क्यों बेवफा कहलाता हूँ।
Har Raat Usko Iss Tarah Se Bhulaata Hoon,
Dard Ko Seene Mein Daba Ke So Jaata Hoon.
Sard Hawaaein Jab Bhi Chalti Hain Raat Mein,
Haath Senkne Ko Apna Hi Ghar Jalata Hoon.
Kasam Dee Thi Usne Kabhi Na Rone Ki Mujhe,
Yahi Wajah Hai Ki Aaj Bhi Muskuraata Hoon.
Har Kaam Kiya Main Ne Uski Khushi Ke Liye,
Tab Bhi Jaane Kyon Bewafa Kehlaata Hoon.
Armaan Tujhse Milne Ke

यूँ ही भटकते रहते हैं
अरमान तुझसे मिलने के,
न ये दिल ठहरता है
न तेरा इंतज़ार रुकता है।
Yoon Hi Bhatakte Rehte Hain
Armaan Tujhse Milne Ke,
Na Ye Dil Thheharta Hai
Na Tera Intezaar Rukta Hai.
Hum Jo Roye To

एक फ़साना सुन गए एक कह गए,
हम जो रोये तो मुस्कुराकर रह गए।
Ek Fasaana Sun Gaye Ek Keh Gaye,
Hum Jo Roye To Muskuraakar Reh Gaye.
Chhalak Jaane Do Paimaane
छलक जाने दो पैमाने
मैखाने भी क्या याद रखेंगे,
आया था कोई दिवाना
अपनी मोहब्बत को भुलाने।
Chhalak Jaane Do Paimaane
Maikhaane Bhi Kya Yaad Rakhenge,
Aaya Tha Koi Deewana
Apni Mohabbat Ko Bhulaane.
Phool Murjha Jaayenge

बहारों के फूल एक दिन मुरझा जायेंगे,
भूले से कहीं याद तुम्हें हम आ जायेंगे,
अहसास होगा तुमको हमारी मोहब्बत का,
जब कहीं हम तुमसे बहुत दूर चले जायेंगे।
Bahaaron Ke Phool Ek Din Murjha Jaayenge,
Bhoole Se Kaheen Yaad Tumhein Hum Aa Jaayenge,
Ehsaas Hoga Tumko Humaari Mohabbat Ka,
Jab Kaheen Hum Tumse Bahut Door Chale Jaayenge.