- Home
- Page-157
हिंदी शायरी
Gire Sookhe Patton Par

नीचे गिरे सूखे पत्तों पर
अदब से चलना ज़रा
कभी कड़ी धूप में तुमने
इनसे ही पनाह माँगी थी।
Neeche Gire Sookhe Patton Par
Adab Se Chalna Zara
Kabhi Kadi Dhoop Mein Tum Ne
Inn Se Hi Panaah Maangi Thi.
Tere Liye Badnaam Ho Jaaun

ऐ सनम मैं तेरे लिए बदनाम हो जाऊं,
तू अपनी ओर खींचे वो लगाम हो जाऊं,
किसी और मंजिल की चाह नहीं मुझको,
सिर्फ तेरी ही गलियों में गुमनाम हो जाऊं।
Ai Sanam Main Tere Liye Badnaam Ho Jaaun,
Tu Apni Or Kheenche Wo Lagaam Ho Jaaun,
Kisi Aur Manzil Ki Chaah Nahin Mujhko,
Sirf Teri Hi Galiyon Mein GumNaam Ho Jaaun.
Na Pyaas Baki Hai
Na Bhookh Hai Mujhe Na Daulat Ki Pyaas Baki Hai,
Milti Rahe Har Kisi Se Mohabbat Ye Hi Kaafi Hai.
न भूख है मुझे न दौलत की प्यास बाकी है,
मिलती रहे हर किसी से मोहब्बत काफी है।
Tere Intezaar Mein Kab Se

तेरे इंतजार में कब से उदास बैठे हैं,
तेरे दीदार में आँखे बिछाये बैठे हैं,
तू एक नज़र हम को देख ले बस,
इस आस में कब से बेकरार बैठे हैं।
Tere Intezaar Mein Kab Se Udaas Baithhe Hain,
Tere Deedaar Mein Aankhe Bichhaaye Baithe Hain,
Tu Ek Nazar Hum Ko Dekh Le Bas,
Iss Aas Mein Kab Se Bekaraar Baithe Hain.
Apna Tumhein Bana Liya
दिल तड़पता है इक ज़माने से,
आ भी जाओ किसी बहाने से,
बन गये दोस्त भी मेरे दुश्मन,
इक तुम्हारे क़रीब आने से।
जब अपना तुम्हें बना ही लिया,
कौन डरता है फिर ज़माने से,
तुम भी दुनिया से दुश्मनी ले लो,
दोनों मिल जाएं इस बहाने से।
चाहे सारे जहान मिट जाएं,
इश्क मिटता नहीं मिटाने से।
Dil Tadapta Hai Ik Zamane Se,
Aa Bhi Jaao Kisi Bahaane Se,
Ban Gaye Dost Bhi Mere Dushman,
Ik Tumhare Qareeb Aane Se.
Jab Apna Tumhein Bana Hi Liya,
Kaun Darta Hai Phir Zamane Se,
Tum Bhi Duniya Se Dushmani Le Lo,
Donon Mil Jaayien Iss Bahaane Se.
Chaahe Saare Jahaan Mit Jaaein,
Ishq MitTa Nahin Mitaane Se.
Aankh Se Ashq Ravaan Hon
साहिर लुधियानवीजान-ए-तन्हा पे गुजर जायें हजारो सदमें,
आँख से अश्क रवाँ हों ये ज़रूरी तो नहीं।
Jaan-e-Tanha Pe Gujar Jaayen Hajaaro Sadmein,
Aankh Se Ashq Ravaan Hon Ye Zaroori To Nahin.
Uski Chalaakiyaan

उसे लगता है कि उसकी चालाकियाँ
मुझे समझ नहीं आती,
मैं बड़ी खामोशी से देखता हूँ
उसे अपनी नज़रों से गिरते हुए।
Use Lagta Hai Ki Uski Chalaakiyaan
Mujhe Samajh Nahin Aati,
Main Badi Khaamoshi Se Dekhta Hoon
Use Apni Nazaron Se Girte Huye.
Ek-Dooje Ke Ho Jaayen

जो तेरे गुलाबी लब मेरे लबों को छू जायें,
मेरी रूह का मिलन तेरी रूह से हो जाये,
ज़माने की साज़िशों से बेपरवाह हो जायें,
मेरे ख्वाब कुछ देर तेरी बाहों में सो जायें,
मिटा कर फ़ासले हम प्यार में खो जायें,
आ कुछ पल के लिये एक-दूजे के हो जायें।
Jo Tere Gulaabi Lab Mere Labon Ko Chhoo Jaayen,
Meri Rooh Ka Milan Teri Rooh Se Ho Jaaye,
Zamane Ki Saazishon Se Beparwaah Ho Jaayen,
Mere Khwaab Kuchh Der Teri Baahon Mein So Jaayen,
Mita Kar Fasle Hum Pyaar Mein Kho Jaayen,
Aa Kuchh Pal Ke Liye Ek-Dooje Ke Ho Jaayen.