हिंदी शायरी

Meri Tanhai Ka Ahsaas

Meri Tanhai Ka Ahsaas Shayari

Fir Kahin Dur Se Ek Baar Sadaa Do MujhKo,
Meri Tanhai Ka Ahsaas Dila Do MujhKo,
Tum Toh Chaand Ho Tumhein Meri Jarurat Kya Hai,
Main Diya Hoon Kisi Chaukhat Pe Jala Do MujhKo.

फिर कहीं दूर से एक बार सदा दो मुझको,
मेरी तन्हाई का एहसास दिला दो मुझको,
तुम तो चाँद हो तुम्हें मेरी ज़रुरत क्या है,
मैं दिया हूँ किसी चौखट पे जला दो मुझको।

-Advertisement-

Pee Raha Hun Dosto

Pee Raha Hun Dosto Shayari

Main Khuda Ka Naam Lekar Pee Raha Hun Dosto,
Zehar Bhi Ismein Agar Hoga Dawaa Ho Jayega,
Sab Usee Ke Hain Hawa, Khushboo, Zamino-Aasmaan,
Main Jahan Bhi Jaunga Usko Pata Ho Jayega.

मैं खुदा का नाम लेकर पी रहा हूँ दोस्तों,
ज़हर भी इसमें अगर होगा दवा हो जाएगा,
सब उसी के हैं, हवा, खुशबू, ज़मीनो-आसमाँ,
मैं जहाँ भी जाऊँगा उसको पता हो जाएगा।

-Advertisement-

Na Justzoo Ka Sila Mila

Na Justzoo Ka Sila Mila Shayari

हमें अपने घर से चले हुए,
सरे राह उमर गुजर गई,
न कोई जुस्तजू का सिला मिला,
न सफर का हक ही अदा हुआ।

Humein Apne Ghar Se Chale Huye,
Sare Raah Umar Gujar Gayi,
Na Koi Justzoo Ka Sila Mila,
Na Safar Ka Haq Hee Adaa Hua.

Dekha Gham Ka Saaya

जहाँ भी देखा गम का साया,
तू ही तू मुझको याद आया,
ख्वाबों की कलियाँ जब टूटी,
ये गुलशन लगने लगा पराया,
दरिया जब जब दिल से निकला,
एक समंदर आँखों में समाया,
मेरे दामन में कुछ तो देते,
यूँ तो कुछ नहीं माँगा खुदाया।

Jahaan Bhi Dekha Gham Ka Saaya,
Tu Hi Tu Mujhko Yaad Aaya,
Khwaabon Ki Kaliyaan Jab Tooti,
Ye Gulshan Lagne Laga Paraaya,
Dariya Jab Jab Dil Se Nikla,
Ek Samandar Aankhon Mein Samaaya,
Mere Daaman Mein Kuchh To Dete,
Yoon To Kuchh Nahin Maanga Khudaaya.

-Advertisement-

Aansoo Girne Nahin Deta

इनको कभी आँख से गिरने नहीं देता,
उनको लगते हैं मेरी आँख में प्यारे आँसू।

Inko Kabhi Aankh Se Girne Nahin Deta,
Unko Lagte Hain Meri Aankh Mein Pyaare Aansoo.

-Advertisement-

Tere Shahar Mein Bikte Rahe

Tere Shahar Mein Bikte Rahe Shayari

तुझे फुर्सत ही न मिली मुझे पढ़ने की वरना,
हम तेरे शहर में बिकते रहे किताबों की तरह।

Tujhe Fursat Hi Na Mili Mujhe Parhane Ki Varna,
Hum Tere Shahar Mein Bikte Rahe Kitaabon Ki Tarah.

Ghamon Ki Ot Mein

वफ़ा के शीशमहल में सजा लिया मैनें,
वो एक दिल जिसे पत्थर बना लिया मैनें।

ये सोच कर कि न हो ताक में ख़ुशी कोई,
गमों की ओट में खुद को छुपा लिया मैनें।

कभी न ख़त्म किया मैंने रोशनी का मुहाज़,
अगर चिराग बुझा तो दिल जला लिया मैनें।

कमाल ये है कि जो दुश्मन पे चलाना था,
वो तीर अपने ही कलेजे पे खा लिया मैनें।

Wafa Ke SheeshMahal Mein Saja Liya Maine,
Wo Ek Dil Jise Patthar Bana Liya Maine.

Ye Soch Kar Ki Na Ho Taak Mein Khushi Koi,
Ghamon Ki Ot Mein Khud Ko Chhupa Liya Maine.

Kabhi Na Khatm Kiya Maine Roshani Ka Muhaaz,
Agar Chiraag Bujha To Dil Jala Liya Maine.

Kamaal Ye Hai Ki Jo Dushman Pe Chalaana Tha,
Wo Teer Apne Hi Kaleje Pe Kha Liya Maine.

-Advertisement-

Dard Ki Daulat-e-Naayaab

Dard Ki Daulat-e-Naayaab Shayari

खुद को औरों की तवज्जो का तमाशा न करो,
आइना देख लो अहबाब से पूछा न करो,
शेर अच्छे भी कहो, सच भी कहो, कम भी कहो,
दर्द की दौलत-ए-नायाब को रुसवा न करो।

Khud Ko Auron Ki Tavajjo Ka Tamaasha Na Karo,
Aaina Dekh Lo Ahbaab Se Poochha Na Karo,
Sher Achchhe Bhi Kaho, Sach Bhi Kaho, Kam Bhi Kaho,
Dard Ki Daulat-e-Naayaab Ko Ruswaa Na Karo.