हिंदी शायरी

Aansoo Aur Dard Mila Payar Karke

कितनी आरजू हमको तुमसे दिल लगाने की है,
क्यों नहीं फिर इजाजत हमको करीब आने की है,
तुमसे प्यार करके हमें बस चंद आंसू और दर्द मिला,
ये सजा शायद हमारे लिये प्यार को निभाने की है।

Kitni Aarzoo Humko Tumse Dil Lagaane Ki Hai,
Kyon Nahin Phir Ijazat Humko Kareeb Aane Ki Hai,
Tumase Pyaar Karke Humein Bas Chand Aansoo Aur Dard Mila,
Ye Saza Shayad Humare Liye Pyaar Ko Nibhaane Ki Hai.

-Advertisement-

Thoda Guroor Karta Hoon

Apni Isee Adaa Par Thoda Guroor Karta Hoon,
Mohabbat Ho Ya Nafrat Ho... Bharpoor Karta Hoon.

अपनी इसी अदा पर थोडा गुरूर करता हूँ!
मोहब्बत हो या नफरत भरपूर करता हूँ..!

-Advertisement-

Kuchh Dost Bhool Gaye

Kuchh Dost Bhool Gaye Shayari

जिंदगी के एक झोंके से सारे पन्ने पलट गए,
कुछ दोस्त भूल गए तो कुछ पीछे छूट गए,
हवा के झोंके ने फिर से पन्नों को सहलाया,
एक बार फिर देखो पहले पन्ने पर ले आया।

Zindagi Ke Ek Jhonke Se Saare Panne Palat Gaye,
Kuchh Dost Bhool Gaye To Kuchh Peechhe Chhoot Gaye,
Hawaa Ke Jhonke Ne Fir Se Panno Ko Sehlaya,
Ek Baar Fir Dekho Pehle Panne Par Le Aaya.

Unhein Bhool Jaane Ki Aadat Hai

यूँ रूठ जाना तो हुस्न की अलामत है,
दिल तो शीशा है उसे टूट जाने की आदत है,
दिलाऊं रोज सुबह शाम अपनी याद उनको,
वो क्या करें उन्हें भूल जाने की आदत है।

Yoon Roothh Jana To Husn Ki Alaamat Hai,
Dil To Sheesha Hai Usey Toot Jaane Ki Aadat Hai,
Dilaaun Roz Subah Shaam Apni Yaad Unko,
Wo Kya Karein Unhein Bhool Jaane Ki Aadat Hai.

-Advertisement-

Tujhko Bhulaane Ki Dawaa

न वो सहर, न वो शख्स, न वो हवा चाहिए,
मुझे बस तुझको भुलाने की दवा चाहिए।

Na Wo Sahar, Na Wo Shakhs, Na Wo Hawa Chahiye,
Mujhe Bas Tujhko Bhulaane Ki Dawaa Chahiye.

-Advertisement-

Zidd Barbaad Kar Gayi

Zidd Barbaad Kar Gayi Shayari

एक ज़िद दोनों को बर्बाद कर गयी...!
उसे हमारा होना नहीं था...
और हमें उसे खोना नहीं था..!!

Ek Zidd Dono Ko Barbaad Kar Gayi..!
Usey Humara Hona Nahi Tha...
Aur Humein Usey Khona Nahi Tha..!!

Ro Ro Kar Bhulaya Hoga

हमारी यादों ने कभी उसको सताया होगा,
आँखों से हमारा चेहरा आँसुओं ने मिटाया होगा,
गम ये नहीं कि वो भूल गया है हमको,
गम ये है कि बहुत रो-रो कर भुलाया होगा।

Humari Yaadon Ne Kabhi Usko Sataya Hoga,
Aankhon Se Humara Chehra Aansuon Ne Mitaya Hoga,
Gham Yeh Nahi Ki Wo Bhool Gaya Hai Humko,
Gham Ye Hai Ki Bahut Ro Ro Kar Bhulaya Hoga.

-Advertisement-

Kuchh Sawalon Ka Jawab

वो किताबें भी जवाब माँगती हैं जिन्हें हम,
खरीद लाये थे कुछ सवालों का जवाब ढूढ़ने।

Wo Kitaabein Bhi Jawab Mangti Hain Jinhein Hum,
Khareed Laye The Kuchh Sawalon Ka Jawab Dhoodne.