हिंदी शायरी

Bikharne Dete Hain Zindgi

Chalo Bikharne Dete Hain Zindgi Ko Ab,
Sabhaalne Ki Bhi To Ek Hadd Hoti Hai !

चलो बिखरने देते है जिंदगी को अब,
सँभालने की भी तो एक हद होती है ।

-Advertisement-

Baarishen Is Taarah Se

Baarishen Kuchh Is Taarah Se Hoti Rahin Mujh Pe,
Khwahishen Sookhati Rahin Palken Bheegti Rahin!

बारिशें कुछ इस तरह से होती रही मुझ पे,
ख्वाहिशें सूखती रही और पलके भीगती रही।

-Advertisement-

Subah Tum Jab Bhi Aana

Subah Tum Jab Bhi Aana Shayari

Ai Subah Tum Jab Bhi Aana,
Sab Ke Liye Khushiyan Lana,
Har Chehre Par Hansi Sajana,
Har Aangan Mein Phool Khilana.

ऐ सुबह तुम जब भी आना,
सबके लिए खुशियाँ लाना,
हर चेहरे पर हँसी सजाना,
हर आँगन में फूल खिलाना ।

Wo Apni Anaa Mein Rahe

Jashn-e-Shab Mein Meri Jal Na Saka Ishq Ka Diya,
Wo Apni Anaa Mein Rahe Aur Maine Apne Ghamo Ko Jia.

जश्न-ए-शब में मेरी कभी जल न सका इश्क़ का दिया,
वो अपनी अना में रही और मैंने अपने ग़मो को ज़िया।

-Advertisement-

Muskurahat Ka Mol

Muskurahat Ka Koi Mol Nahi Hota,
Kuchh Rishton Ka Koi Tol Nahi Hota,
Log To Mil Jate Hain Har Mod Par Lekin,
Har Koi Aapki Tarah Anmol Nahi Hota.

मुस्कराहट का कोई मोल नहीं होता,
कुछ रिश्तों का कोई तोल नहीं होता,
लोग तो मिल जाते है हर मोड़ पर लेकिन,
हर कोई आपकी तरह अनमोल नहीं होता।

-Advertisement-

Apne Zakhmon Ka Ujala

Ye Hakiqat Hai Ke Hota Hai Asar Baaton Mein,
Tum Bhi Khul Jaoge Do-Char Mulakaaton Mein.

Tumse Sadiyon Ki Wafaaon Ka Koi Naata Na Tha,
Tumse Milne Ki Lakeerein Thi Mere Haathon Mein.

Tere Vaadon Ne Humein Ghar Se Nikalne Na Diya,
Log Mausam Ka Mazaa Le Gaye Barsaaton Mein.

Ab Na Sooraj Na Sitaare Na Shamaa Na Chaand,
Apne Zakhmon Ka Ujala Hai Ghani Raaton Mein.

ये हक़ीक़त है कि होता है असर बातों में,
तुम भी खुल जाओगे दो-चार मुलाकातों में,

तुमसे सदियों की वफाओं का कोई नाता न था,
तुमसे मिलने की लकीरें थीं मेरे हाथों में,

तेरे वादों ने हमें घर से निकलने न दिया,
लोग मौसम का मज़ा ले गए बरसातों में,

अब न सूरज न सितारे न शमां न चाँद,
अपने ज़ख्म़ों का उजाला है घनी रातों में।

Kash Wo Aa Jayein

Kash Wo Aa Jayein Aur Dekh Kar Kahein Mujhse,
Hum Mar Gaye Hain Kya Jo Itne Udaas Rahte Ho.

काश वो आ जायें और देख कर कहें मुझसे,
हम मर गये हैं क्या? जो इतने उदास रहते हो।

-Advertisement-

Mohabbat Bhi Siyasat Ki Tarah

Mohabbat Bhi Siyasat Ki Tarah Shayari

Kayi Aankhon Mein Rahti Hai,
Kayi Baahe Badalti Hai,
Mohabbat Bhi Siyasat Ki Tarah
Raahein Badalti Hai.

कई आँखों में रहती है कई बांहें बदलती है,
मुहब्बत भी सियासत की तरह राहें बदलती है।