हिंदी शायरी

Raat Bhar Ki Udaasiyon

Raat Bhar Ki Udaasiyon Ke Baad,
Ye Bhi Ek Hunar Hi Maano,
Ki Hum Har Subah Ek Baar Phir Se,
Zindagi Sanwaar Lete Hain.

रात भर की उदासियों के बाद,
ये भी एक हुनर ही मानो,
कि हम हर सुबह एक बार फिर से,
जिंदगी सँवार लेते हैं।

-Advertisement-

Bharat Kee Fizaaon Ko

भारत की फजाओं को सदा याद रहूँगा,
आजाद था, आजाद हूँ, आजाद रहूँगा।

Bharat Kee Fizaaon Ko Sada Yaad Rahunga,
Aazaad Tha, Aazaad Hoon, Aazaad Rahunga.

-Advertisement-

Najar Utha Kar Tadap Uthe

Muddat Se Jin Ki Aas Thi
Wo Mile Bhi To Kuchh Yoon Mile,
Hum Najar Utha Kar Tadap Uthe
Wo Najar Jhuka Kar Gujar Gaye.

मुद्दत से जिन की आस थी
वो मिले भी तो कुछ यूँ मिले,
हम नजर उठा कर तड़प उठे
वो नजर झुका कर गुजर गए।

Udaas Dilon Ke HumDard

Udaas Dilon Ke HumDard Shayari

Zindagi Ki Raahon Mein
Muskuraate Raho Hamesha,
Udaas Dilon Ko HumDard To Milte Hain,
HumSafar Nahi.

जिन्दगी की राहों में
मुस्कराते रहो हमेशा,
उदास दिलों को हमदर्द तो मिलते हैं,
हमसफ़र नहीं।

-Advertisement-

Na Khushi Achchhi Ai Dil

Na Khushi Achchhi Ai Dil Shayari

Na Khushi Achchhi Hai Ai Dil
Na Malaal Achchha Hai,
Yaar Jis Haal Mein Rakhe
Wahi Haal Achchha Hai.

न ख़ुशी अच्छी है ऐ दिल
न मलाल अच्छा है,
यार जिस हाल में रखे
वही हाल अच्छा है।

-Advertisement-

Dil Ko Patthar Bana Liya

तन्हाइयों के शहर में एक घर बना लिया,
रुसवाइयों को अपना मुक़द्दर बना लिया,
देखा है हमने यहाँ पत्थर को पूजते हैं लोग,
हमने भी अपने दिल को पत्थर बना लिया।

Tanhaiyon Ke Shahar Mein Ek Ghar Bana Liya,
Rusawaiyon Ko Apana Muqaddar Bana Liya,
Dekha Hai Humne Yahaan Patthar Ko Poojte Hain Log,
Humne Bhi Apne Dil Ko Patthar Bana Liya.

Hum Khatawar Huye

Hum Khatawar Huye Shayari

Wo Qatl Kar Ke Bhi Munsifo Mein Shamil Hai,
Hum Jaan De Kar Bhi Zamane Mein Khatawar Huye.

वो क़त्ल कर के भी मुंसिफों में शामिल है,
हम जान देकर भी जमाने में खतावार हुए।

-Advertisement-

Har Roz Taaza Shikayat

Har Roz Taaza Shikayat Shayari

मुमकिन हो आपसे तो भुला दीजिये मुझे,
पत्थर पे हूँ लकीर, मिटा दीजिये मुझे,
हर रोज़ मुझसे ताज़ा शिकायत है आपको,
मैं क्या हूँ, एक बार बता दीजिये मुझे।

Mumkin Ho Aapse To Bhula Deejiye Mujhe,
Patthar Pe Hoon Lakeer, Mita Deejiye Mujhe,
Har Roz Mujhse Taaza Shikayat Hai Aapko,
Main Kya Hoon, Ek Baar Bata Deejiye Mujhe.