हिंदी शायरी

Gam-e-Yaar Bhi Shamil Kar Lo

Gam-e-Duniya Mein Gam-e-Yaar Bhi Shamil Kar Lo,
Nasha Barhta Hai Sharabein Jo Sharabon Mein Milein,
Ab Na Wo Main Hoon, Na Tu Hai, Na Wo Mazi Hai Faraz,
Jaise Do Saaye Tamanna Ke Saraabon Mein Milein.

ग़म-ए-दुनिया में ग़म-ए-यार भी शामिल कर लो,
नशा बढ़ता है शराबें जो शराबों में मिलें,
अब न वो मैं हूँ, न तू है, न वो माज़ी है फ़राज़,
जैसे दो साए तमन्ना के सराबों में मिलें।

-Advertisement-

Mere Paanv Ke Chhalo

Mere Paanv Ke Chhalo Shayari

ऐ मेरे पाँव के छालो... जरा लहू उगलो,
सिरफिरे मुझसे सफ़र के निशान माँगेंगे।

Ai Mere Paanv Ke Chhalo... Jara Lahoo Uglo,
Sirfire Mujhse Safar Ke Nishaan Mangenge.

-Advertisement-

Barish Mein Dosti Ki Yaadein

Barish Mein Dosti Ki Yaadein Shayari

बूंदों से बना हुआ छोटा सा समंदर,
लहरों से भीगती छोटी सी बस्ती,
चलो ढूंढ़े बारिश में दोस्ती की यादें,
हाथ में लेकर एक कागज़ की कश्ती।

Boondon Se Bana Huaa Chhota Sa Samandar,
Lehron Se Bheegti Chhoti Si Basti,
Chalo Dhoodhein Barish Mein Dosti Ki Yaadein,
Haath Mein Lekar Ek Kagaz Ki Kashti.

Gam Ne Ubarne Na Diya

एक वो हैं कि जिन्हें उनकी ख़ुशी ले डूबी,
एक हम हैं कि जिन्हें ग़म ने उबरने न दिया।

Ek Wo Hain Ke Jinhein Unki Khushi Le Doobi,
Ek Hum Hain Ke Jinhein Gam Ne Ubarne Na Diya.

-Advertisement-

Funny Garibi Ne Kiya Ganja

गरीबी ने किया गंजा नहीं तो चाँद पर जाता,
तुम्हारी माँग भरने को सितारे तोड़कर लाता,
बहा डाले तुम्हारी याद में आँसू कई गैलन,
अगर तुम फोन न करती तो सैलाब आ जाता,
तुम्हारे नाम की चिठ्ठी तुम्हारे बाप ने खोली,
उसे इंग्लिश अगर आती तो वो कच्चा चबा जाता,
तुम्हारी बेवफाई से बना हूँ टॉप का शायर,
तुम्हारे इश्क में पड़ता तो सीधा आगरा जाता..!

Garibi Ne Kiya Ganja Nahi To Chand Par Jata,
Tumhari Maang Bharne Ko Sitare Tod Lata,
Baha Dale Tumhari Yaad Mein Aansoo Kayi Galon,
Agar Tum Phone Na Karti To Sailaab Aa Jata,
Tumhare Naam Ki Chitthi Tumhare Baap Ne Kholi,
Usey English Agar Aati To Wo Kachcha Chaba Jata,
Tumhari Bewafai Se Bana Hoon Top Ka Shayar,
Tumhare Ishq Mein Padta To Seedha Agra Jata...!

-Advertisement-

Zindagi Mein Itne Gam The

Zindagi Mein Itne Gam The Shayari

कौन सा वो ज़ख्मे-दिल था जो तर-ओ-ताज़ा न था,
ज़िन्दगी में इतने ग़म थे जिनका अंदाज़ा न था,
'अर्श' उनकी झील सी आँखों का उसमें क्या क़ुसूर,
डूबने वालों को ही गहराई का अंदाज़ा न था।

Kaun Sa Wo Zakhm-e-Dil Tha Jo Tar-o-Taaza Na Tha,
Zindagi Mein Itne Gam The Jinka Andaaza Na Tha,
Arsh Unki Jheel Si Aankhon Ka Usmein Kya Kasoor,
Doobane Walon Ko Hi Gehrayi Ka Andaaza Na Tha.

Dil Lagaane Ke Kabil

न हम रहे दिल लगाने के काबिल,
न दिल रहा ग़म उठाने के काबिल,
लगे उसकी यादों के जो ज़ख़्म दिल पर,
न छोड़ा उसने मुस्कुराने के काबिल।

Na Hum Rahe Dil Lagaane Ke Kabil,
Na Dil Raha Gam Uthhane Ke Kabil,
Lage Uski Yaadon Ke Jo Zakhm Dil Par,
Na Chhoda Usne Muskuraane Ke Kabil.

-Advertisement-

Ye Mera Hi Hausla Hai

Zindagi Darst-e-Gham Thi Aur Kuchh Nahi,
Ye Mera Hi Hausla Hai Ki Darmiyan Se Gujar Gaya.

ज़िन्दगी दरस्त-ए-ग़म थी और कुछ नहीं,
ये मेरा ही हौंसला है की दरम्यां से गुज़र गया।