हिंदी शायरी

Shab-e-Gham Mein Museebat

अज़ल भी टल गई
देखी गई हालत न आँखों से,
शब-ए-ग़म में मुसीबत सी
मुसीबत हम ने झेली है।

Azal bhi Tal Gayi
Dekhi Gayi Haalat Na Aankhon Se,
Shab-e-Gham Mein Museebat Si
Museebat Hum Ne Jheli Hai

-Advertisement-

Teri Yaadon Mein Hoon

Teri Yaadon Mein Hoon Shayari

मैं जहाँ हूँ अभी तेरी यादों में हूँ
जो गुजर रही मेरे बिन उन रातों में हूँ
इधर उधर मुड़के न देखो हमें,
नशा बन के अभी तेरी आँखों में हूँ।

Main Jahaan Hoon Abhi Teri Yaadon Mein Hoon,
Jo Gujar Rahi Mere Bin Unn Raaton Mein Hoon,
Idhar Udhar Mudke Na Dekho Humein,
Nasha Ban Ke Abhi Teri Aankhon Mein Hoon.

-Advertisement-

इश्क़ एक धोखा है

लोग कहते हैं इश्क़ एक धोखा है,
हमने सुना ही नहीं आज़मा के देखा है,
पहले लूट लेते हैं प्यार में जान तक,
फिर कहते हैं कौन हो आप?
आपको कहीं देखा है!

Log Kehte Hain Ishq Ek Dhokha Hai,
Humane Suna Hi Nahin Aazma Ke Dekha Hai,
Pehle Loot Lete Hain Pyaar Mein Jaan Tak,
Phir Kehte Hain Kaun Ho Aap?
Aapko Kahin Dekha Hai!

Zindagi Har Haal Mein

Zindagi Har Haal Mein Shayari

ज़िन्दगी हर हाल में एक मुकाम माँगती है,
किसी का नाम तो किसी से ईमान माँगती है,
बड़ी हिफाजत से रखना पड़ता है दोस्त इसे,
रूठ जाए तो मौत का सामान माँगती है।

Zindagi Har Haal Mein Ek Mukaam Maangti Hai,
Kisi Ka Naam To Kisi Se Imaan Maangti Hai,
Badi Hifazat Se Rakhna Padta Hai Dost Ise,
Rooth Jaye To Maut Ka Saamaan Maangti Hai.

-Advertisement-

Maa Ki Duaaon Ka Deeya

Zinda Jazbat Dil-e-Faulaad Rakhta Hoon,
Ajeez Mijaaz Zakhm-e-ilaaz Rakhta Hoon,
Mujhe Kya Khauf Inn Andheron Se Maa,
Teri Duaaon Ka Deeya Jo Apne Paas Rakhta Hoon.

जिन्दा जज्बात दिल-ए-फौलाद रखता हूँ,
अजीज मिजाज ज़ख्म-ए-इलाज रखता हूँ,
मुझे क्या खौफ़ इन अंधेरों से माँ,
तेरी दुआओं का दीया जो अपने पास रखता हूँ।

-Advertisement-

वो नाम जो मेरे होंठों पर

अब किससे कहें और कौन सुने जो हाल तुम्हारे बाद हुआ,
इस दिल की झील सी आँखों में एक ख़्वाब बहुत बर्बाद हुआ,
यह हिज्र-हवा भी दुश्मन है उस नाम के सारे रंगों की,
वो नाम जो मेरे होंठों पर खुशबू की तरह आबाद हुआ।

Ab Kis Se Kahein Aur Kaun Sune Jo Haal Tumhare Baad Huaa,
Iss Dil Ki Jheel Si Aankhon Mein Ek Khwaab Bahut Barbaad Huaa,
Yeh Hijr-HaWa Bhi Dushman Hai Us Naam Ke Saare Rangon Ki,
Wo Naam Jo Mere Honthon Par Khushboo Ki Tarah Aabaad Huaa.

मोहब्बत की तलाश है

कुछ अधूरी सी है हम दोनों की ज़िन्दगी,
तुम्हें मोहब्बत की तलाश है मुझे तुम्हारी।

Kuchh Adhoori Si Hai Hum Dono Ki Zindagi,
Tumhein Mohabbat Ki Talash Hai Mujhe Tumhari.

-Advertisement-

Ishq Se Qasoor Poochh Mera

सुना है इश्क़ से तेरी बहुत बनती है,
एक एहसान कर उस से क़सूर पूछ मेरा।

Suna Hai Ishq Se Teri Bahut Banti Hai...
Ek Ehsaan Kar Uss Se Qasoor Poochh Mera.