हिंदी शायरी

Khoon-e-Dil Se Mehndi

वो आज खूने-दिल से मेंहदी लगाये बैठे हैं,
सारे किस्से मेरे दिल से लगाये बैठे हैं,
ख़ामोशी में भी एक शोर है उनकी,
सुर्ख जोड़े में खुद को बेवा बनाये बैठे हैं।

Wo Aaj Khoon-e-Dil Se Mehndi Lagaye Baithe Hain,
Saare Kisse Mere Dil Se Lagaaye Baithe Hain,
Khamoshi Mein Bhi Ek Shor Hai Unki,
Surkh Jode Mein Khud Ko Beva Banaaye Baithe Hain.

-Advertisement-

Husn Qayamat Shayari

Husn Qayamat Shayari Shayari

Huzoor Lazimi Hai Mehfilo Mein Babaal Hona,
Ek To Husn Qayamat Uspe Honthhon Ka Lal Hona.

हुजूर लाज़िमी है महफिलों में बवाल होना,
एक तो हुस्न कयामत उसपे होठों का लाल होना।

-Advertisement-

Apna Dard Na Bata Saki

Dard Itna Tha Dil Mein Main Bata Na Saki,
Aankhon Mein Aansoo The Fir Bhi Gira Na Saki,
Chala Gaya Wo Shakhs Hamesha Ke Liye,
Par Main Apne Dil Ki Baat Usko Bata Na Saki.

दर्द इतना था मेरे दिल में मैं बता न सकी,
आँखों में आँसू थे फिर भी गिरा न सकी,
चला गया वो शख्स हमेशा के लिए,
पर मैं अपने दिल की बात बता न सकी।

Aankhon Mein Ishq Rota Ho

शायरी उसी के लबों पर सजती है साहेब,
जिसकी आँखों में इश्क रोता हो।

Shayari Usi Ke Labon Par Sajti Hai Saheb,
Jiski Aankhon Mein Ishq Rota Ho.

-Advertisement-

Meri Yaadon Ko Dil Se

Mere Jaane Ka Tu Ab Koi Gham Na Karna,
Apni Khoobsoorat Aankhon Ko Nam Na Karna,
Mere Armaan To Mere Dil Mein Hi Jal Gaye,
Meri Yaadon Ko Dil Se Kam Na Karna.

मेरे जाने का तू अब कोई ग़म न करना,
अपनी खूबसूरत आँखों को नम न करना,
मेरे अरमान तो मेरे दिल में ही जल गये,
मेरी यादों को दिल से कम न करना।

-Advertisement-

Wo Aankhein Kitni Qaatil Hain

हम उससे थोड़ी दूरी पर हमेशा रुक से जाते हैं,
न जाने उससे मिलने का इरादा कैसा लगता है,
मैं धीरे-धीरे उनका दुश्मन-ए-जाँ बनता जाता हूँ,
वो आँखें कितनी क़ातिल हैं वो चेहरा कैसा लगता है।

Hum Uss Se Thodi Doori Par Hamesha Ruk Se Jaate Hain,
Na Jaane Uss Se Milne Ka Iraada Kaisa Lagta Hai,
Main Dheere-Dheere Unka Dushman-e-Jaan Banta Jaata Hoon,
Wo Aankhein Kitni Qaatil Hain Wo Chehra Kaisa Lagta Hai.

Kabhi Tinke Kabhi Patte

Kabhi Tinke Kabhi Patte Shayari

कभी तिनके, कभी पत्ते, कभी खुशबू उड़ा लाई,
हमारे घर तो आँधी भी कभी तनहा नहीं आई।

Kabhi Tinke, Kabhi Patte, Kabhi Khushboo Udaa Laayi,
Humaare Ghar To Aandhi Bhi Kabhi Tanha Nahi Aayi.

-Advertisement-

Chehra Tera Chaand Ka Tukada

Chehra Tera Chaand Ka Tukada Shayari

Tere Ishaaron Par Main Naachoon Kya Jadoo Ye Tumhara Hai,
Jab Se Tumko Dekha Hai Dil Bekaboo Humara Hai,
Zulfein Teri Baadal Jaisi Aankh Mein Tere Samandar Hai,
Chehra Tera Chaand Ka Tukada Saare Jahaan Se Pyaara Hai.

तेरे इशारों पर मैं नाचूं क्या जादू ये तुम्हारा है,
जब से तुमको देखा है दिल बेकाबू हमारा है,
जुल्फें तेरी बादल जैसी आँख में तेरे समंदर है,
चेहरा तेरा चाँद का टुकड़ा सारे जहाँ से प्यारा है।