हिंदी शायरी

हर जगह बस तू

हर जगह बस तू Shayari

मेरा रेशा-रेशा मुझमें
तेरे होने की गवाही देता है,
क्या कम है कि मुझे
हर जगह बस तू ही दिखाई देता है।

Mera Resha-Resha Mujh Mein
Tere Hone Ki Gawaahi Deta Hai,
Kya Kam Hai Ki Mujhe
Har Jagah Bas Tu Hi Dikhayi Deta Hai.

-Advertisement-

Driver Se Mohabbat

मत कर ड्राईवर से मोहब्बत
उसका ठिकाना दूरी होता है
ड्राईवर बेवफा नहीं होता बस
उसका जाना जरूरी होता है।

Mat Kar Driver Se Mohabbat
Uska Thikaana Door Hota Hai
Driver Bewafa Nahin Hota
Bas Uska Jaana Jaruri Hota Hai.

-Advertisement-

Meri Fitrat Nahin Badali

मैं एक संजीदा साहिल हूँ,
मुझे मौजों से क्या मतलब,
कई तूफ़ान आये पर,
मेरी फितरत नहीं बदली।

Main Ek Sanjeeda Saahil Hoon,
Mujhe Maujon Se Kya Matlab,
Kayi Toofaan Aaye Par,
Meri Fitrat Nahin Badali.

Pighalne Waale Dil

तू भी खामख्वाह बढ़ रही है ऐ धूप,
इस शहर में पिघलने वाले दिल ही नहीं रहे।

Tu Bhi Khaamkhwaah Badh Rahi Hai Ai Dhoop,
Iss Shahar Mein Pighalne Waale Dil Hi Nahin Rahe.

-Advertisement-

चाहा था जिसको टूटकर

चाहा था जिसको टूटकर Shayari

चाहा था जिसको टूटकर आखिर चला गया,
इस दिल से मोहब्बत का मुसाफिर चला गया,
बेरंग आज तक है ये तस्वीर प्यार की,
पूरा किये बगैर दिल से हमसफर चला गया।

Chaaha Tha Jisko Tootkar Aakhir Chala Gaya,
Iss Dil Se Mohabbat Ka Musafir Chala Gaya,
Berang Aaj Tak Hai Ye Tasvir Pyaar Ki,
Poora Kiye Bagair Dil Se HumSafar Chala Gaya.

-Advertisement-

Badla To Le Lo

क्या हुआ जो मेरे लब तेरे लब से लग गए,
माफ़ न करो न सही... बदला तो ले लो।

Kya Hua Jo Mere Lab Tere Lab Se Lag Gaye,
Maaf Na Karo Na Sahi... Badla To Le Lo.

Mujhe Rone Nahin Diya

Mujhe Rone Nahin Diya Shayari

पत्थर बना दिया मुझे रोने नहीं दिया,
दामन भी तेरे ग़म ने भिगोने नहीं दिया।

तन्हाईयाँ तुम्हारा पता पूछती रहीं,
शब् भर तुम्हारी याद ने सोने नहीं दिया।

आँखों में आकर बैठ गई आँसुओं की लहर,
पलकों पे कोई ख्वाब पिरोने नहीं दिया।

Patthar Bana Diya Mujhe Rone Nahin Diya,
Daaman Bhi Tere Gam Ne Bhigone Nahin Diya.

Tanhaiyaan Tumhara Pata Poochhti Rahin,
Shab Bhar Tumhari Yaad Ne Sone Nahin Diya.

Aankhon Mein Aakar Baith Gayi Aansuon Ki Lehar,
Palkon Pe Koyi Khwaab Pirone Nahin Diya.

-Advertisement-

Lahoo Shaheedon Ka

Lahoo Shaheedon Ka Shayari

करीब मुल्क के आओ तो कोई बात बने,
बुझी मशाल को जलाओ तो कोई बात बने,
सूख गया है जो लहू शहीदों का,
उसमें अपना लहू मिलाओ तो कोई बात बने।

Karib Mulk Ke Aao To Koi Baat Bane,
Bujhi Mashaal Ko Jalaao To Koi Baat Bane,
Sookh Gaya Hai Jo Lahoo Shaheedon Ka,
Uss Mein Apna Lahoo Milaao To Koi Baat Bane.