हिंदी शायरी

Lafzon Mein Dard Shayari

Ye Shayari Kuchh Aur Nahi
Be-Intehaan Ishq Hai,
Tadap Unki UthhTi Hai,
Aur Dard Lafzon Mein Utar Aata Hai

ये शायरी कुछ और नहीं
बेइंतहा इश्क है,
तड़प उनकी उठती है
और दर्द लफ्जों में उतर आता है।

-Advertisement-

Dosti Ko Sanjo Kar Rakhna

Har Khushi Dil Ke Kareeb Nahin Hoti,
Zindagi Gamon Se Door Nahin Hoti,
Ai Dost Dosti Ko Sanjo Kar Rakhna,
Dosti Har Kisi Ko Naseeb Nahin Hoti.

हर ख़ुशी दिल के करीब नहीं होती,
ज़िन्दगी ग़मों से दूर नहीं होती,
ऐ दोस्त दोस्ती को संजो कर रखना,
दोस्ती हर किसी को नसीब नहीं होती।

-Advertisement-

Ishq Karta Mujh Se Bhi Koi

Ek Khalish Si Reh Gayi Dil Mein,
Mujh Jaisa Ishq Karta, Mujh Se Bhi Koi!

एक ख़लिश सी रह गयी दिल में,
मुझ जैसा इश्क़ करता, मुझ से भी कोई!
~अनिल कुमार साहू

Afsos Tere Badalne Ka

नजारे तो बदलेंगे ही ये तो कुदरत है,
अफसोस तो हमें तेरे बदलने का हुआ है।

Najaare To Badlenge Hi Ye To Kudarat Hai,
Afsos To Humein Tere Badalne Ka Huaa Hai.

-Advertisement-

दूर कैसे रह पाते

हम तुमसे दूर कैसे रह पाते,
दिल से तुमको कैसे भुला पाते,
काश तुम आईने में बसे होते,
खुद को देखते तो तुम नजर आते।

Hum Tumse Door Kaise Reh Paate,
Dil Se Tumko Kaise Bhula Paate,
Kaash Tum Aaeene Mein Base Hote,
Khud Ko Dekhte To Tum Najar Aate.

-Advertisement-

Sab Kishtiyaan Meri

उलटी पड़ी हैं रेत पर सब किश्तियाँ मेरी...
कोई ले गया है दिल से समंदर निकाल कर।
~अनिल कुमार साहू

Ulti Padi Hai Ret Par Sab Kishtiyaan Meri...
Koi Le Gaya Hai Dil Se Samandar Nikaal Kar.

Gam Dene Ki Chaahat Mein

तुम खुद ही उलझ जाओगे
मुझे ग़म देने की चाहत में,
मुझमे हौंसला बहुत है
मुस्कुराकर निकल जाऊँगा।

Tum Khud Hi Ulajh Jaoge
Mujhe Gam Dene Ki Chaahat Mein,
Mujhme Haunsla Bahut Hai
Muskurakar Nikal Jaoonga.

-Advertisement-

Chaahat Itni Hi Ho

Chaahat Itni Hi Ho Shayari

चाहत इतनी ही हो कि जी संभल जाए,
इस कदर भी न चाहो कि दम निकल जाए।
~अनिल कुमार साहू

Chaahat Itni Hi Ho Ki Ji Sambhal Jaye,
Iss Kadar Bhi Na Chaaho Ki Dam Nikal Jaye.