हिंदी शायरी

Ishq Ki Galiyon Mein

Bhatak Jaate Hain Log Aksar
Ishq Ki Galiyon Mein,
Is Safar Ka Koi Ek
Naksha To Hona Chaahiye.

भटक जाते हैं लोग अक्सर
इश्क़ की गलियों में,
इस सफर का कोई इक
नक्शा तो होना चाहिए।

-Advertisement-

Kabhi Murga To Kabhi Battakh

कभी मुर्गा तो कभी बत्तख बना देता है,
पता नहीं ये मास्टर मुझसे किस बात का बदला लेता है।

Kabhi Murga To Kabhi Battakh Bana Deta Hai,
Pata Nahin Ye Maastar Mujhse Kis Baat Ka Badala Leta Hai.

-Advertisement-

Judai Ne Wo Zakhm Diya

Dil Ko Mere Ye Ehsaas Bhi Nahi Hai,
Ke Ab Mera Pyar Mere Paas Nahi Hai,
Uski Judai Ne Wo Zakhm Diya Humein,
Zinda Bhi Na Rahe Aur Laash Bhi Nahi Hai.

दिल को मेरे ये एहसास भी नहीं है,
कि अब मेरा मेरा यार मेरे पास नहीं है,
उसकी जुदाई ने वो ज़ख्म दिया हमें,
जिंदा भी न रहे और लाश भी नहीं है।

Ishq Ki Saajishein

Ishq Ki Saajishein Shayari

इश्क ने हमसे कुछ ऐसी साजिशें रची हैं,
मुझमें मैं नहीं हूँ अब बस तू ही तू बसी है।

Ishq Ne Humse Kuchh Aisi Saajishein Rachi Hain,
Mujhme Main Nahin Hoon Ab Bas Tu Hi Tu Basi Hai.

-Advertisement-

Bewafa Hona Jaroori

मोहब्बत से रिहा होना जरूरी हो गया है,
मेरा तुझसे जुदा होना जरूरी हो गया है,
वफ़ा के तजुर्बे करते हुए तो उम्र गुजरी,
जरा सा बेवफा होना जरूरी हो गया है।

Mohabbat Se Riha Hona Jaroori Ho Gaya Hai,
Mera Tujhse Juda Hona Jaroori Ho Gaya Hai,
Wafa Ke Tajurbe Karte Huye To Umr Gujri,
Jara Sa Bewafa Hona Jaroori Ho Gaya Hai.

-Advertisement-

Haath Zakhmi Hua To

हाथ ज़ख़्मी हुआ तो कुछ मेरी ही खता थी,
लकीरों को बदलना चाहा था किसी को पाने के लिए।

Haath Zakhmi Hua To Kuchh Meri Hi Khata Thi,
Lakeeron Ko Badalna Chaaha Tha Kisi Ko Paane Ke Liye.

Dard Ki Daastaan Baaki Hai

Dard Ki Daastaan Baaki Hai Shayari

Dard Ki Daastaan Abhi Baaki Hai,
Mohabbat Ka Imtehaan Abhi Baki Hai,
Dil Kare To Zakhm Dene Aa Jana,
Dil Hi Toota Hai Jaan Abhi Baki Hai.

दर्द की दास्तान अभी बाकी है,
मोहब्बत का इम्तेहान अभी बाकी है,
दिल करे तो ज़ख्म देने आ जाना,
दिल ही टूटा है जान अभी बाकी है।

-Advertisement-

Jara Sa Tum Badal Jaate

जरा सा तुम बदल जाते,
जरा सा हम बदल जाते,
तो मुमकिन था ये रिश्ते
किसी साँचे में ढल जाते।

Jara Sa Tum Badal Jaate,
Jara Sa Ham Badal Jaate,
To Mumakin Tha Ye Rishte
Kisi Saanche Mein Dhal Jaate.