- Home
- Page-51
हिंदी शायरी
Mar-Mar Ke Jiya Karte Hain
ख़ुदकुशी जुर्म भी है सब्र की तौहीन भी है,
इस लिए इश्क में मर-मर के जिया करते हैं।
Khudkushi Jurm Bhi Hai Sabr Ki Tauheen Bhi Hai,
Iss Liye Ishq Mein Mar-Mar Ke Jiya Karte Hain.
Humein Bhulaoge Kaise
Humse Door Jaaoge Kaise,
Dil Se Humein Bhulaoge Kaise,
Hum Wo Khushboo Hain Jo Saanson Mein Baste Hain,
Bhala Saanson Ko Rok Paaoge Kaise.
हमसे दूर जाओगे कैसे,
दिल से हमें भुलाओगे कैसे,
हम वो खुशबू हैं जो साँसों में बसते हैं,
भला साँसों को रोक पाओगे कैसे।
Charche Teri Aankhon Ke
कैदखाने हैं बिना सलाखों के,
कुछ यूं चर्चे हैं तेरी आँखों के।
QaidKhane Hain Bina Salaakhon Ke,
Kuchh Yoon Charche Hain Teri Aankhon Ke.
Dard Ke Kaanton Pe
Waqt Hi Dard Ke Kaanton Pe Sulaye Dil Ko,
Waqt Hi Dard Ka Ehsaas Mita Deta Hai,
Rone Se Tasalli Kabhi Ho Jaati Thi,
Ab Tabassum Mere Honthon Ko Jala Deta Hai.
वक़्त ही दर्द के काँटों पे सुलाए दिल को,
वक़्त ही दर्द का एहसास मिटा देता है,
रोने से तसल्ली कभी हो जाती थी,
अब तबस्सुम मेरे होंठों को जला देता है।
उन्हें पाने की चाहत
सावन की बूंदों में
झलकती है उनकी तस्वीर,
आज फिर भीग बैठे हैं
उन्हें पाने की चाहत में।
Saawan Ki Boondon Mein
Jhalakti Hai Unki Tasvir,
Aaj Phir Bheeg Baithe Hain
Unhein Paane Ki Chaahat Mein.
Mere Dil Ki Gehraiyon Mein
जरा उतर के देख मेरे दिल की गहराइयों में,
कि तुझे भी मेरे जज़्बात का पता चले,
दिल करता है चाँद को खड़ा कर दूं तेरे आगे,
जरा उसे भी तो अपनी औकात का पता चले।
Jara Utar Ke Dekh Mere Dil Ki Gehraiyon Mein,
Ki Tujhe Bhi Mere Jazbaat Ka Pata Chale,
Dil Karta Hai Chaand Ko Khada Kar Doon Tere Aage,
Jara Use Bhi To Apni Aukaat Ka Pata Chale.
Dard Dene Laga Maza
Aadat Ke Baad Dard Bhi Dene Laga Maza,
Hans-Hans Ke Aah-Aah Kiye Ja Raha Hoon Main.
जिगर मुरादाबादीआदत के बाद दर्द भी देने लगा मज़ा,
हँस-हँस के आह-आह किये जा रहा हूँ मैं।
Dosti Ki Raah Mein
दोस्ती की राह में हद से गुजर जायेंगे हम,
आँखों के रास्ते तेरे दिल मे उतर जायेंगे हम,
ऐ दोस्त तू अगर आने का वादा करें तो,
तेरी राहों में फूल बनकर बिखर जायेंगे हम।
Dosti Ki Raah Mein Hadd Se Gujar Jaayenge Hum,
Aankhon Ke Raaste Tere Dil Me Utar Jayenge Hum,
Ai Dost Tu Agar Aane Ka Vaada Kare To,
Teri Raahon Mein Phool Bankar Bikhar Jaayenge Hum.