- Home
- Page-55
हिंदी शायरी
तेरा नाम लिखा जाता है
हर अल्फाज़ में एहसास लिखा जाता है,
यहाँ पर पानी को प्यास लिखा जाता है,
मेरे जज्बात से वाकिफ है मेरी कलम भी,
प्यार लिखूं तो तेरा नाम लिखा जाता है।
Har Alfaaz Mein Ehsaas Likha Jata Hai,
Yahan Pani Ko Bhi Pyaas Likha Jata Hai,
Mere Jazbaat Se Waqif Hai Meri Kalam Bhi,
Pyar Likhun To Tera Naam Likha Jata Hai.
मोहब्बत तुझसे अच्छा
लाजवाब कर देते हैं तेरे खयाल दिल को,
मोहब्बत तुझसे अच्छा तेरा तसव्वुर है।
Lajawab Kar Dete Hain Tere Khayal Dil Ko,
Mohabbat TujhSe Achchha Tera Tasawwur Hai.
Ek Raat Jab Khaali Haath
जो मौत से न डरता था,
बच्चों से डर गया,
एक रात जब खाली हाथ
मजदूर घर गया।
Jo Maut Se Na Darta Tha,
Bachchon Se Dar Gaya,
Ek Raat Jab Khaali Haath
Majdoor Ghar Gaya.
Kuchh Dard Hain Jo
Tumhari Yaad Ke Saaye Mere Dil Ke Andhere Mein,
Bahut Takleef Dete Hain Mujhe Jeene Nahi Dete,
Akeli Raah Mein Humraah Koi Mil Toh Jata Hai,
Magar Kuchh Dard Hain Jo Dil Behlne Nahi Dete.
विशाल बाबूतुम्हारी याद के साए मेरे दिल के अँधेरे में,
बहुत तकलीफ देते हैं मुझे जीने नहीं देते,
अकेली राह में हमराह कोई मिल तो जाता है,
मगर कुछ दर्द हैं जो दिल बहलने नहीं देते।
Uski Bewafai Ki Aandhiyaan
Ye Chiraag-e-Jaan Bhi Ajeeb Hai,
Ki Jala Hua Hai Abhi Talak,
Uski Bewafai Ki Aandhiyaan To,
Kabhi Ki Aa Ke Gujar Gayin.
ये चिराग-ए-जान भी अजीब है,
कि जला हुआ है अभी तलक,
उसकी बेवफाई की आँधियाँ तो,
कभी की आ के गुजर गईं।
Mujhe Ishq Hua Hai
आज कुछ लिखने की फ़िराक में हूँ,
आज सुबह ही मुझे इश्क़ हुआ है।
Aaj Kuchh Likhne Ki Firaak Mein Hoon,
Aaj Subah Hi Mujhe Ishq Hua Hai.
Dosti Ka Matlab
एक प्यारा सा दिल जो, कभी नफरत नहीं करता,
एक प्यारी सी मुस्कान जो, कभी फीकी नही पड़ती,
एक एहसास जो कभी दु:ख नहीं देता,
और एक रिश्ता जो कभी खत्म नहीं होता।
Ek Pyara Sa Dil Jo Kabhi Nafrat Nahi Karta,
Ek Pyari Si Muskan Jo Kabhi Feeki Nahi Padti,
Ek Ehsaas Jo Kabhi Dukh Nahi Deta,
Aur Ek Rishta Jo Kabhi Khatm Nahi Hota.
Baat Ke Sau Pehloo
बात वो कहिए कि जिस बात के सौ पहलू हों,
कोई पहलू तो रहे बात बदलने के लिए।
Baat Wo Kahiye Ke Jis Baat Ke Sau Pehloo Hon,
Koi Pehloo To Rahe Baat Badalne Ke Liye.