- Home
- Page-61
हिंदी शायरी
Chehare Se Nazar Nahin Aate
हमारे दिल में भी झांको अगर मिले फुर्सत,
हम अपने चेहरे से इतने नज़र नहीं आते।
Humaare Dil Mein Bhi Jhaanko Agar Mile Fursat,
Hum Apne Chehare Se Itne Nazar Nahin Aate.
Unki Hakeeqat Badal Gayi
उल्फत बदल गई कभी नीयत बदल गई,
खुदगर्खुज जब हुए तो फिर सीरत बदल गई,
कुछ लोग अपना कसूर दूसरों पे डाल कर,
ये सोचते हैं कि उनकी हकीकत बदल गई।
Ulfat Badal Gayi Kabhi Neeyat Badal Gayi,
Khudgarz Jab Huye To Phir Seerat Badal Gayi,
Kuchh Log Apna Kasoor Doosron Pe Daal Kar,
Ye Sochte Hain Ki Unki Hakeeqat Badal Gayi.
सदियों की चाहतें
लम्हों में क़ैद कर दे जो सदियों की चाहतें,
हसरत रही कि ऐसा कोई अपना तलबगार हो।
Lamhon Mein Qaid Kar De Jo Sadiyon Ki Chaahtein,
Hasrat Rahi Ke Aisa Koi Apna Talabgaar Ho.
Kabhi Haar Nahin Hoti
लहरों को साहिल की दरकार नहीं होती,
हौसला बुलंद हो तो कोई दीवार नहीं होती,
जलते हुए चिराग ने आँधियों से ये कहा,
उजाला देने वालों की कभी हार नहीं होती।
Lehron Ko Saahil Ki Darkaar Nahin Hoti,
Hausla Buland Ho To Koi Deewar Nahin Hoti,
Jalte Huye Chiraag Ne Aandhiyon Se Ye Kaha,
Ujaala Dene Walon Ki Kabhi Haar Nahin Hoti.
तड़पे हजारों दिल मगर
मैं चाहता हूँ मैं तेरी हर साँस में मिलूँ,
परछाईयों में, धूप में, बरसात में मिलूँ।
कोई खुदा के दर पे मुझे ढूंढ़ता फिरे,
मैं भी किसी को प्यार की सौगात में मिलूँ।
तड़पे हजारों दिल मगर हासिल न मैं हुआ,
तू चाहता है मैं तुझे यूँ ही खैरात में मिलूँ।
Main Chahta Hoon Main Teri Har Saans Mein Miloon,
Parchhayion Mein, Dhoop Mein, Barsaat Mein Miloon.
Koi Khuda Ke Dar Pe Mujhe Dhhoodta Firey,
Main Bhi Kisi Ko Pyar Ki Saugaat Mein Miloon.
Tadpe Hajaaro Dil Magar Haasil Main Na Hua,
Tu Chahta Hai Main Tujhe Khairaat Mein Miloon.
उदासियों के जंगल हैं
उसकी आँखों से भी बरसता है सावन अब,
मेरे भी चेहरे पर भी उदासियों के जंगल हैं।
Uski Aankhon Se Bhi Barasta Hai Saawan Ab,
Mere Chehre Par Bhi Udaasiyon Ke Jangal Hain.
Dard Mit Gaye Dil Se
Har Ek Haseen Chehre Mein Gumaan Uska Tha,
Basaa Na Koi Dil Mein Ye Makaan Uska Tha,
Tamaam Dard Mit Gaye Mere Dil Se Lekin,
Jo Na Mit Saka Woh Ek Naam Uska Tha.
हर एक हसीन चेहरे में गुमान उसका था,
बसा न कोई दिल में ये मकान उसका था,
तमाम दर्द मिट गए मेरे दिल से लेकिन,
जो न मिट सका वो एक नाम उसका था।
To Mashahoor Ho Jaaun
मेरी सादगी ही गुमनामी में रखती है मुझे,
जरा सा बिगड़ जाऊं तो मशहूर हो जाऊं।
Meri Saadagi Hi Gumnaami Mein Rakhti Hai Mujhe,
Jara Sa Bigad Jaaun To Mashahoor Ho Jaaun.