हिंदी शायरी

Tujhe Yaad Kiya Karte Hain

अपनी आँखों को आँसू दिया करते हैं,
जब नींद में तेरा नाम लिया करते हैं,
पलक झपके तुम्हारी तो समझ लेना,
हम तुझे याद किया करते हैं।

Apni Aankhon Ko Aansoo Diya Karte Hain,
Jab Neend Mein Tera Naam Liya Karte Hain,
Palak Jhapke Tumhari To Samajh Lena,
Hum Tujhe Yaad Kiya Karte Hain.

-Advertisement-

Dil Ke Pehloo Mein Dard

दिल के पहलू में एक दर्द सा पाने लगे,
जब अपने ही बेगाने से नजर आने लगे।

Dil Ke Pehloo Mein Ek Dard Sa Paane Lage,
Jab Apne Hi Begaane Se Najar Aane Lage.

-Advertisement-

Haathon Se Pila De Saaqiya

Haathon Se Pila De Saaqiya Shayari

मौका मिला है कुछ तो ख़ुलूस दिखा दे साक़िया,
क्या पता... कल तेरी महफ़िल में हम हों कि न हों,
उठा के जाम अपने हाथों से पिला दे साक़िया,
क्या पता... कल तेरी महफ़िल में हम हों कि न हों।

Mauka Mila Hai Kuchh To Khuloos Dikha De Saaqiya,
Kya Pata... Kal Teri Mehfil Mein Hum Hon Ki Na Hon,
Utha Ke Jaam Apane Haathon Se Pila De Saaqiya,
Kya Pata... Kal Teri Mehfil Mein Hum Hon Ki Na Hon.

Gair Teri Mehfil Mein

हम कब तक ग़ैरों की तरह
तेरी महफ़िल में रहें,
अपना तो कहो झूठा ही सही
हर बात गंवारा हो हो जाये।

Hum Kab Tak Gairon Ki Tarah
Teri Mehfil Mein Rahein,
Apna To Kaho Jhootha Hi Sahi
Har Baat Ganvaara Ho Jaaye.

-Advertisement-

Pyaar Ki Raah Mein Gam

Pyaar Ki Raah Mein Gam Shayari

प्यार की राह में ग़म का अँधेरा आता क्यूँ है,
जिसको हमने चाहा वही रुलाता क्यूँ है,
वो मेरे नसीब में नहीं है तो खुदा,
बार-बार हमें उसी से मिलाता क्यूँ है।

Pyaar Ki Raah Mein Gam Ka Andhera Aata Kyoon Hai,
Jisko Humne Chaaha Wahi Rulaata Kyoon Hai,
Wo Mere Naseeb Mein Nahin Hai To Khuda,
Baar-Baar Humein Usi Se Milaata Kyoon Hai?

-Advertisement-

भरा है दिल मोहब्बत से

कह देना चाँद उनसे वो हमें बेवफ़ा न समझे,
आँखों से दूर हैं मगर दिल से जुदा न समझे,
भरा है दिल मोहब्बत से मगर मजबूर रहते हैं,
मोहब्बत कम न कर देना कि इतनी दूर रहते हैं।

Keh Dena Chaand Unse Wo Humein Bewafa Na Samjhe,
Aankhon Se Door Hain Magar Dil Se Juda Na Samjhe,
Bhara Hai Dil Mohabbat Se Magar Majboor Rehte Hain,
Mohabbat Kam Na Kar Dena Ki Itani Door Rehte Hain.

Khud Se Door Hota Hai

Khuda To Ek Taraf Khud Se Bhi Koso Door Hota Hai,
Insaan Jis Waqt Taqat Ke Nashe Mein Choor Hota Hai.

खुदा तो इक तरफ, खुद से भी कोसों दूर होता है,
इंसान जिस वक्त ताकत के नशे में चूर होता है।

-Advertisement-

Gam Ke Raaste Pe

भटकते रहे हैं बादल की तरह,
सीने से लगा लो आँचल की तरह,
ग़म के रास्ते पे ना छोड़ना अकेले,
वरना टूट जाएँगे पायल की तरह।

Bhatakte Rahe Hain Baadal Ki Tarah,
Seene Se Laga Lo Aanchal Ki Tarah,
Gam Ke Raaste Pe Na Chhodna Akele,
Varna Toot Jayenge Paayal Ki Tarah.